Bashir Badr

Dil Mein Ek Tasveer Chhupi Thi – Bashir Badr Poetry

Dil Mein Ek Tasveer Chhupi Thi

– Bashir Badr Poetry

Dil Mein Ek Tasveer Chhupi Thi Aan Basi Hai Aankhon Mein
Shayad Hum Ne Aaj Ghazal Si Baat Likhi Hai Aankhon Mein

Jaise Ek Harijan Ladki Mandir Ke Darwaze Par
Shaam Diyon Ki Thaal Sajaye Jhaank Rahi Hai Aankhon Mein

Is Rumaal Ko Kaam Mein Lao Apni Palken Saaf Karo
Mela Mela Chaand Nahin Hai Dhool Jami Hai Aankhon Mein

Parhta Ja Ye Manzar Naama Zard Azeem Pahaadon Ka
Dhoop Khuli Palkon Ke Upar Baraf Jami Hai Aankhon Mein

Maine Ek Novel Likha Hai Aanewali Subah Ke Naam
Kitni Raaton Ka Jaaga Hoon Neend Bhari Hai Aankhon Mein

دل میں اک تصویر چھپی تھی آن بسی ہے آنکھوں میں
شاید ہم نے آج غزل سی بات لکھی ہے آنکھوں میں

جیسے اک ہریجن لڑکی مندر کے دروازے پر
شام دیوں کی تھال سجائے جھانک رہی ہے آنکھوں میں

اس رومال کو کام میں لاؤ اپنی پلکیں صاف کرو
میلا میلا چاند نہیں ہے دھول جمی ہے آنکھوں میں

پڑھتا جا یہ منظر نامہ زرد عظیم پہاڑوں کا
دھوپ کھلی پلکوں کے اوپر برف جمی ہے آنکھوں میں

میں نے اک ناول لکھا ہے آنے والی صبح کے نام
کتنی راتوں کا جاگا ہوں نیند بھری ہے آنکھوں میں

 

Phal Jaye Mohabbat To Mohabbat Hai Mohabbat – Ghazal
Mehfilain Lut Gain Jazbaat Ne Dam Tor Diya – Saghar Siddiqi
Khushi Ne Mujh Ko Thukraya Hai – Begum Akhtar Lyrics

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *