Jaun Elia

Dil Ne Wafa Ke Naam Par Kaar e Wafa Nahi Kiya – Jaun Elia

Dil Ne Wafa Ke Naam Par Kaar e Wafa Nahi Kiya

Jaun Elia Poetry

 

Dil Ne Wafa Ke Naam Par Kaar-E-Jafa Nahi Kiya
Khud Ko Halaak Kar Liya Khud Ko Fida Nahi Kiya

Kaise Kahein Ke Tujh Ko Bhi Hum Se Hai Vaasta Koi
Tu Ne To Hum Se Aaj Tak Koi Gila Nahi Kiya

Tu Bhi Kisi Ke Baab Mein Ahad-Shikan Ho Ghaliban
Main Ne Bhi Ek Shakhs Ka Qarz Ada Nahi Kiya

Jo Bhi Ho Tum Pe Mu’tariz Us Ko Yahi Jawab Do
Aap Bahot Shareef Hain Aap Ne Kya Nahi Kiya

Jis Ko Bhi Sheikh-O-Shaah Ne Hukm-E-Khuda Diya Qaraar
Ham Ne Nahin Kiya Woh Kaam Haan Ba-Khuda Nahi Kiya

Nisbat-E-Ilm Hai Bahot Haakim-E-Waqt Ko Azeez
Us Ne To Kaar-E-Jehl Bhi Be-Ulaama Nahi Kiya

 

دل نے وفا کے نام پر کارِ وفا نہیں کیا

 

دل نے وفا کے نام پر کارِ وفا نہیں کیا
خود کو ہلاک کر لیا، خود کو فدا نہیں کیا

کیسے کہیں کہ تجھ کو بھی ہم سے ہے واسطہ کوئی
تو نے تو ہم سے آج تک کوئی گلہ نہیں کیا

تو بھی کسی کے باب میں عہد شکن ہو غالباً
میں نے بھی ایک شخص کا قرض ادا نہیں کیا

جو بھی ہو تم پہ معترض، اُس کو یہی جواب دو
آپ بہت شریف ہیں، آپ نے کیا نہیں کیا

جس کو بھی شیخ و شاہ نے حکمِ خُدا دیا قرار
ہم نے نہیں کیا وہ کام، ہاں باخُدا نہیں کیا

نسبتِ علم ہے بہت حاکمِ وقت کو عزیز
اُس نے تو کارِ جہل بھی بے علما نہیں کیا

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *