Noshi Gilani

Dil Tha Ke Khush Khayaal Tujhe Dekh Kar Hua – Noshi Gilani

دل تھا کہ خوش خیال تجھے دیکھ کر ہوا - نوشی گیلانی

Dil Tha Ke Khush Khayaal Tujhe Dekh Kar Hua
Noshi Gilani

Dil Tha Ke Khush Khayaal Tujhe Dekh Kar Hua
Yeh Sheher Be Misaal Tujhe Dekh Kar Hua

Apne Khilaf Sheher Ke Andhe Hujum Mein
Dil Ko Bohat Malaal Tujhe Dekh Kar Hua

Tool Shab-e-Firaaq Teri Khair Ho Ke Dil
Aamadeh-e-Wisaal Tujhe Dekh Kar Hua

Yeh Hum Hi Jaante Hain Judaai Ke Mor Par
Is Dil Ka Jo Bhi Haal Tujhe Dekh Kar Hua

Aayi Na Thi Kabhi Mere Lafzon Mein Roshni
Aur Mujh Se Yeh Kamaal Tujhe Dekh Kar Hua

Bichhaday To Jaise Zehan Muattal Sa Ho Gaya
Sheher-e-Sukhan Bahal Tujhe Dekh Kar Hua

Phir Log Aa Gaye Mera Maazi Kareedne
Phir Mujh Se Ek Sawaal Tujhe Dekh Kar Hua

دل تھا کہ خوش خیال تجھے دیکھ کر ہوا
یہ شہر بے مثال تجھے دیکھ کر ہوا

اپنے خلاف شہر کے اندھے ہجوم میں
دل کو بہت ملال تجھے دیکھ کر ہوا

طول شب فراق تری خیر ہو کہ دل
آمادۂ وصال تجھے دیکھ کر ہوا

یہ ہم ہی جانتے ہیں جدائی کے موڑ پر
اس دل کا جو بھی حال تجھے دیکھ کر ہوا

آئی نہ تھی کبھی مرے لفظوں میں روشنی
اور مجھ سے یہ کمال تجھے دیکھ کر ہوا

بچھڑے تو جیسے ذہن معطل سا ہو گیا
شہر سخن بحال تجھے دیکھ کر ہوا

پھر لوگ آ گئے مرا ماضی کریدنے
پھر مجھ سے اک سوال تجھے دیکھ کر ہوا

Sabab Woh Pooch Rahe Hain Udaas Hone Ka – Rahat Indori
Umar Ka Bharosa Kya, Pal Ka Saath Ho Jaaye – Parveen Shakir
Kisi Bashar Mein Hazaar Khaami Agar Jo Dekho – Iftikhar Iffi

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *