
Diya Hai Dil Agar Us Ko Bashar Hai Kya Kahye
Mirza Ghalib
Diya Hai Dil Agar Us Ko Bashar Hai Kya Kahye
Hua Raqeeb To Ho Namah Bar Hai Kya Kahye
Yeh Zid Ke Aaj Na Aave Aur Aaye Bin Na Rahe
Qaza Se Shikwa Humein Kis Qadar Hai Kya Kahye
Rahe Hai Yoon Gah-o-Be Gah Ke Kooye Dost Ko Ab
Agar Na Kahye Ke Dushman Ka Ghar Hai Kya Kahye
Zahe Karishma Ke Yoon De Rakha Hai Hum Ko Faraib
Ke Bin Kahe Hi Unhein Sab Khabar Hai Kya Kahye
Samajh Ke Karte Hain Bazaar Mein Woh Purseish-e-Haal
Ke Yeh Kahe Ke Sar-e-Rah Guzar Hai Kya Kahye
Tumhein Nahin Hai Sar-e-Rishte-e-Wafa Ka Khayal
Humaare Haath Mein Kuch Hai Magar Hai Kya Kahye
Unhein Sawaal Pe Zaum-e-Junoon Hai Kyun Ladiye
Humein Jawaab Se Qat-e-Nazar Hai Kya Kahye
Hasad Saza-e-Kamaal-e-Sukhan Hai Kya Keejiye
Sitam Baha-e-Mata-e-Hunar Hai Kya Kahye
Kaha Hai Kis Ne Ke Ghalib Bura Nahin Lekin
Siwaaye Is Ke Ke Aashufta Sar Hai Kya Kahye
دیا ہے دل اگر اس کو بشر ہے کیا کہئے
ہوا رقیب تو ہو نامہ بر ہے کیا کہئے
یہ ضد کہ آج نہ آوے اور آئے بن نہ رہے
قضا سے شکوہ ہمیں کس قدر ہے کیا کہئے
رہے ہے یوں گہہ و بے گہہ کہ کوئے دوست کو اب
اگر نہ کہیے کہ دشمن کا گھر ہے کیا کہئے
زہے کرشمہ کہ یوں دے رکھا ہے ہم کو فریب
کہ بن کہے ہی انہیں سب خبر ہے کیا کہئے
سمجھ کے کرتے ہیں بازار میں وہ پرسش حال
کہ یہ کہے کہ سر رہ گزر ہے کیا کہئے
تمہیں نہیں ہے سر رشتۂ وفا کا خیال
ہمارے ہاتھ میں کچھ ہے مگر ہے کیا کہئے
انہیں سوال پہ زعم جنوں ہے کیوں لڑیے
ہمیں جواب سے قطع نظر ہے کیا کہئے
حسد سزائے کمال سخن ہے کیا کیجیے
ستم بہائے متاع ہنر ہے کیا کہئے
کہا ہے کس نے کہ غالبؔ برا نہیں لیکن
سوائے اس کے کہ آشفتہ سر ہے کیا کہئے