
Diyaar-e-Dil Ki Raat Mein Chiraagh Sa Jala Gaya
Noor Jahan Lyrics | Poet: Nasir Kazmi
Diyaar-e-Dil Ki Raat Mein Chiraagh Sa Jala Gaya
Mila Nahin To Kya Hua Woh Shakl To Dikha Gaya
Woh Dosti To Khair Ab Naseeb-e-Dushmanan Hui
Woh Chhoti Chhoti Ranjishon Ka Lutf Bhi Chala Gaya
Judaaiyon Ke Zakhm Dard-e-Zindagi Ne Bhar Diye
Tujhe Bhi Neend Aa Gayi Mujhe Bhi Sabr Aa Gaya
Pukaarti Hain Fursatein Kahaan Gayi Woh Sohbatein
Zameen Nigal Gayi Unhein Ke Aasman Kha Gaya
Yeh Subah Ki Safediyan Yeh Dopahar Ki Zardiyan
Ab Aaine Mein Dekhta Hoon Main Kahaan Chala Gaya
Yeh Kis Khushi Ki Reet Par Ghamon Ko Neend Aa Gayi
Woh Lehr Kis Taraf Gayi Yeh Main Kahaan Samaa Gaya
Gaye Dinnon Ki Laash Par Paday Raho Ge Kab Talak
Alam Kisho Utho Ke Aftaab Sar Pe Aa Gaya
Diyaar-e-Dil Ki Raat Mein Chiraagh Sa Jala Gaya
Lyrics in Urdu
دیار دل کی رات میں چراغ سا جلا گیا
ملا نہیں تو کیا ہوا وہ شکل تو دکھا گیا
وہ دوستی تو خیر اب نصیب دشمناں ہوئی
وہ چھوٹی چھوٹی رنجشوں کا لطف بھی چلا گیا
جدائیوں کے زخم درد زندگی نے بھر دیے
تجھے بھی نیند آ گئی مجھے بھی صبر آ گیا
پکارتی ہیں فرصتیں کہاں گئیں وہ صحبتیں
زمیں نگل گئی انہیں کہ آسمان کھا گیا
یہ صبح کی سفیدیاں یہ دوپہر کی زردیاں
اب آئنے میں دیکھتا ہوں میں کہاں چلا گیا
یہ کس خوشی کی ریت پر غموں کو نیند آ گئی
وہ لہر کس طرف گئی یہ میں کہاں سما گیا
گئے دنوں کی لاش پر پڑے رہو گے کب تلک
الم کشو اٹھو کہ آفتاب سر پہ آ گیا
Us Ne Sukoot-e-Shab Mein Bhi Apna Payam Rakh Diya – ٖFaraz
Ghazal – Mujhe Apne Zabt Pe Naaz Tha | Iqbal Aeem
Go Zara Si Baat Par Barson Ke Yaraane Gaye – Khatir Ghaznavi
Bichhda Hai Jo Ek Baar To Milte Nahi Dekha – Parveen Shakir




