
Diyar-e-Ishq Mein Apna Maqam Paida Kar
(Bal-e-Jibril) Javed Ke Naam
(London Mein Uss Ke Hath Ka Likha Huwa Pehla Khat Ane Par)
Diyar-e-Ishq Mein Apna Maqam Paida Kar
Naya Zamana, Naye Subah-o-Sham Paida Kar
دیار عشق میں اپنا مقام پیدا کر
نیا زمانہ نئے صبح و شام پیدا کر
Khuda Agar Dil-e-Fitrat Shanas De Tujh Ko
Sakoot-e-Lala-o-Gul Se Kalaam Paida Kar
خدا اگر دل فطرت شناس دے تجھ کو
سکوت لالہ و گل سے کلام پیدا کر
Utha Na Sheesha Garan-e-Farang Ke Ehsan
Sifal-e-Hind Se Meena-o-Jaam Paida Kar
اٹھا نہ شیشہ گران فرنگ کے احساں
سفال ہند سے مینا و جام پیدا کر
Main Shakh-e-Taak Hun, Meri Ghazal Hai Mera Samar
Mere Samar Se Mai-e-Lala Faam Paida Kar
میں شاخ تاک ہوں میری غزل ہے میرا ثمر
مرے ثمر سے مے لالہ فام پیدا کر
Mera Tareeq Ameeri Nahin, Faqeeri Hai
Khudi Na Baich, Ghareebi Mein Naam Paida Kar!
مرا طریق امیری نہیں فقیری ہے
خودی نہ بیچ غریبی میں نام پیدا کر
Read More Allama Iqbal Poetry:
Dunya Ki Mehfilon Se Ukta Gya Hun Ya Rab – Aik Arzoo
Zmastani Hawa Mein Garcha Thi Shamsheer Ki Taizi
Sama Sakta Nahin Pehna’ay Fitrat Mein Mera Soda
Kabhi Ae Naujawan Muslim Tadabbur Bhi Kiya Tu Ne