
Diyar-E-Noor Mein Teerah Shabon Ka Saathi Ho
Iftikhar Arif
Diyar-E-Noor Mein Teerah Shabon Ka Saathi Ho
Koi To Ho Jo Meri Wahshaton Ka Saathi Ho
Main Us Se Jhoot Bhi Boloon To Mujh Se Sach Bole
Mere Mizaaj Ke Sab Mausamon Ka Saathi Ho
Main Us Ke Haath Na Aaon Woh Mera Ho Ke Rahe
Main Gir Paroon To Meri Pastiyon Ka Saathi Ho
Woh Mere Naam Ki Nisbat Se Muatbar Thehre
Gali Gali Meri Ruswaiyon Ka Saathi Ho
Kare Kalaam Jo Mujh Se To Mere Lehje Mein
Main Chup Rahoon To Mere Teuron Ka Saathi Ho
Main Apne Aap Ko Dekhoon Woh Mujh Ko Dekhe Jaye
Woh Mere Nafs Ki Gumraahiyon Ka Saathi Ho
Woh Khwab Dekhe To Dekhe Mere Hawale Se
Mere Khayal Ke Sab Manzaron Ka Saathi Ho
دیار نور میں تیرہ شبوں کا ساتھی ہو
کوئی تو ہو جو مری وحشتوں کا ساتھی ہو
میں اس سے جھوٹ بھی بولوں تو مجھ سے سچ بولے
مرے مزاج کے سب موسموں کا ساتھی ہو
میں اس کے ہاتھ نہ آؤں وہ میرا ہو کے رہے
میں گر پڑوں تو مری پستیوں کا ساتھی ہو
وہ میرے نام کی نسبت سے معتبر ٹھہرے
گلی گلی مری رسوائیوں کا ساتھی ہو
کرے کلام جو مجھ سے تو میرے لہجے میں
میں چپ رہوں تو مرے تیوروں کا ساتھی ہو
میں اپنے آپ کو دیکھوں وہ مجھ کو دیکھے جائے
وہ میرے نفس کی گمراہیوں کا ساتھی ہو
وہ خواب دیکھے تو دیکھے مرے حوالے سے
مرے خیال کے سب منظروں کا ساتھی ہو




