
Door Manzil Hai Raah Guzar Tanha
Raasta Hi Khatm Nahi Hota
Reza Reza Hain Khwab Aankhon Mein
Kaise Keh Doon Ke Gham Nahi Hota
Koi Shikwa Nahi Magar Maula
Kya Karoon Dard Kam Nahi Hota
Zindagi Ke Udaas Lamhon Mein
Teri Yaadon Ka Saibaan To Hai
Tera Ehsas Teri Khushboo Hai
Mere Apnon Ka Ek Maan To Hai
Yeh Chiraghon Ko Kya Bujhayein Gi
Ke Hawaon Mein Dum Nahi Hota
Kya Kahoon Kis Tarah Guzari Hai
Zindagi Tujh Ko Jee Ke Dekh Liya
Mere Zakhmon Ki Baat Karte Ho
Yeh Zehr Hum Ne Pee Ke Dekh Liya
Kya Kisi Se Gila Kare Koi
Tu Bhi Ma’il Ba-Karam Nahi Hota
Koi Shikwa Nahi Magar Maula
Kya Karoon Dard Kam Nahi Hota
دور منزل ہے راہ گذر تنہا
راستہ ہی ختم نہیں ہوتا
ریزا ریزا ہیں خواب آنکھوں میں
کیسے کہہ دوں کہ غم نہیں ہوتا
کوئی شکوہ نہیں مگر مولا
کیا کروں درد کم نہیں ہوتا
زندگی کے اُداس لمحوں میں
تیری یادوں کا سائباں تو ہے
تیرا احساس تیری خوشبو ہے
میرے اپنوں کا ایک مان تو ہے
یہ چراغوں کو کیا بُجھائیں گی
کہ ہوائوں میں دم نہیں ہوتا
کیا کہوں کس طرح گذاری ہے
زندگی تُجھ کو جی کہ دیکھ لیا
میرے زخموں کی بات کرتے ہو
یہ زہر ہم نے پی کہ دیکھ لیا
کیا کسی سے گِلا کرے کوئی
تو بھی مائل بہ کرم نہیں ہوتا
کوئی شکوہ نہیں مگر مولا
کیا کروں درد کم نہیں ہوتا
Mujh Ko Maloom Tha Main Aur Sanwar Jaaoon Ga
Ae Dil Woh Aashiqi Ke Fasane Kidhar Gaye – Akhtar Shirani




