
Duniya Ki Ab Haalat Yeh Hai Duniya Ke Yeh Naqshe Hain
Apna Jin Ko Kehte Hain Hum Dushman Un Se Achay Hain
Mere Haal Pe Hansne Walo Maango Mustaqbil Ki Khair
Majbooron Par Hansne Wale Aksar Rote Dekhe Hain
Aap Ko Mere Sehra Ke Kaanton Par Bistar Ka Kya Dard
Aap To Phoolon Ke Daman Mein Nighat Ban Kar Sote Hain
Dil Ke Gum Hone Ka Mujh Ko Ranj Nahi Afsos Nahi
Jo Khote Hain Woh Paate Hain Woh Paate Hain Jo Khote Hain
Mere Tasawwur Ki Kotahi Bhi Hai Kitni Lutf Afza
Aksar Khaya Hai Yeh Dhoka Pehlu Mein Woh Baithe Hain
Mujh Ko Ulfat Un Se Hai Aur Un Ko Ghair Ki Chahat Hai
Ulte Baans Bareli Laana Shad Isi Ko Kehte Hain
دُنیا کی اب حالت یہ ہے دنیا کے یہ نقشے ہیں
اپنا جن کو کہتے ہیں ہم دشمن اُن سے اچھے ہیں
میرے حال پہ ہنسنے والو! مانگو مستقبل کی خیر
مجبوروں پر ہنسنے والے اکثر روتے دیکھے ہیں
آپ کو میرے صحرا کے کانٹو ں پر بستر کا کیا درد
آپ تو پھولوں کے دامن میں نکہت بن کر سوتے ہیں
دل کے گم ہونے کا مجھ کو رنج نہیں افسوس نہیں
جو کھوتے ہیں وہ پاتے ہیں ، وہ پاتے ہیں جو کھوتے ہیں
میرے تصور کی کوتاہی بھی ہے کتنی لطف فزا
اکثر کھایا ہے یہ دھوکا پہلو میں وہ بیٹھے ہیں
مجھ کو الفت ان سے ہے اور ان کو غیر کی چاہت ہے
“الٹے بانس بریلی لانا“ شاد اسی کو کہتے ہیں
(شاد عارفی)




