
Duniya Mein Woh Ek Shakhs Hamaara Nahi Hota
دنیا میں وہ اک شخص ہمارا نہیں ہوتا
ہوتا بھی اگر ہے تو وہ سارا نہیں ہوتا
تم لوٹ تو آئے ہو مگر کارِ محبت
اک بار ہی ہوتا ہے دوبارہ نہیں ہوتا
بکھرے ہوئے اجڑے ہوئے ٹھکرائے ہوئے سے
ہم ایسوں کا کوئی بھی سہارا نہیں ہوتا
اب دل میں نہیں ہے ترے دیدار کی حسرت
بدلے ہوئے موسم کا نظارہ نہیں ہوتا
میں توڑ کے لاتی ہوں فلک سے اسے لیکن
آتی ہوں زمیں پر تو ستارا نہیں ہوتا
اچھے ہیں وہ دشمن ہی جو رکھتے ہیں خبر تو
اپنوں کو تو اتنا بھی گوارا نہیں ہوتا
رہتی یونہی تِشنہ سی کنارے پہ کھڑے میں
دریا نے اگر مجھ کو پکارا نہیں ہوتا
دو بار تو کر اپنا کرم رزق کے مالک
اک وقت کی روٹی پہ گزارا نہیں ہوتا
بیٹھے ہیں سرِ بزمِ ستم گر یونہی شفقت
جب تک ہمیں اٹھنے کا اشارا نہیں ہوتا
Duniya Mein Woh Ek Shakhs Hamaara Nahi Hota
Hota Bhi Agar Hai To Woh Saara Nahi Hota
Tum Laut To Aaye Ho Magar Kaar-e-Mohabbat
Ek Baar Hi Hota Hai, Dobaara Nahi Hota
Bikhre Huye, Ujre Huye, Thukraaye Huye Se
Hum Aison Ka Koi Bhi Sahara Nahi Hota
Ab Dil Mein Nahi Hai Tere Deedaar Ki Hasrat
Badle Huye Mausam Ka Nazaara Nahi Hota
Main Tod Ke Laati Hoon Falak Se Use Lekin
Aati Hoon Zameen Par To Sitaara Nahi Hota
Achhe Hain Woh Dushman Hi Jo Rakhte Hain Khabar To
Apnon Ko To Itna Bhi Gawaara Nahi Hota
Rehti Yunhi Tishna Si Kinaare Pe Khade Main
Dariya Ne Agar Mujh Ko Pukaara Nahi Hota
Do Baar To Kar Apna Karam Rizq Ke Maalik
Ek Waqt Ki Roti Pe Guzaara Nahi Hota
Baithe Hain Sar-e-Bazm-e-Sitamgar Yunhi Shafqat
Jab Tak Humein Uthne Ka Ishaara Nahi Hota




