
Faaslay Aisay Bhi Honge Yeh Kabhi Socha Na Tha
Adeem Hashmi Poetry
Faaslay Aisay Bhi Honge Yeh Kabhi Socha Na Tha
Saamne Baitha Tha Mere Aur Woh Mera Na Tha
Woh Ke Khushbu Ki Tarah Phela Tha Mere Chaar Soo
Main Usay Mehsoos Kar Sakta Tha, Chhoo Sakta Na Tha
Raat Bhar Pichhli Si Aahat Kaan Mein Aati Rahi
Jhaank Kar Dekha Gali Mein Koi Bhi Aaya Na Tha
Main Teri Soorat Liye Saare Zamaane Mein Phira
Saari Duniya Mein Magar Koi Tere Jaisa Na Tha
Aaj Milne Ki Khushi Mein Sirf Main Jaaga Nahin
Teri Aankhon Se Bhi Lagta Hai Ke Tu Soya Na Tha
Yeh Sabhi Veeraniyan Us Ke Juda Hone Se Theen
Aankh Dhandhlai Hui Thi, Sheher Dhandhlaya Na Tha
Seenkrhon Toofan Lafzon Mein Dabay The Zair-e-Lab
Ek Pathar Tha Khamoshi Ka Ke Jo Hatta Na Tha
Yaad Kar Ke Aur Bhi Takleef Hoti Thi Adeem
Bhool Jaane Ke Siwa Ab Koi Bhi Chaara Na Tha
Maslehat Ne Ajnabi Hum Ko Banaya Tha Adeem
Warna Kab Ek Doosre Ko Hum Ne Pehchaana Na Tha
فاصلے ایسے بھی ہوں گے یہ کبھی سوچا نہ تھا
سامنے بیٹھا تھا میرے اور وہ میرا نہ تھا
وہ کہ خوشبو کی طرح پھیلا تھا میرے چار سو
میں اسے محسوس کر سکتا تھا چھو سکتا نہ تھا
رات بھر پچھلی سی آہٹ کان میں آتی رہی
جھانک کر دیکھا گلی میں کوئی بھی آیا نہ تھا
میں تری صورت لیے سارے زمانے میں پھرا
ساری دنیا میں مگر کوئی ترے جیسا نہ تھا
آج ملنے کی خوشی میں صرف میں جاگا نہیں
تیری آنکھوں سے بھی لگتا ہے کہ تو سویا نہ تھا
یہ سبھی ویرانیاں اس کے جدا ہونے سے تھیں
آنکھ دھندلائی ہوئی تھی شہر دھندلایا نہ تھا
سینکڑوں طوفان لفظوں میں دبے تھے زیر لب
ایک پتھر تھا خموشی کا کہ جو ہٹتا نہ تھا
یاد کر کے اور بھی تکلیف ہوتی تھی عدیمؔ
بھول جانے کے سوا اب کوئی بھی چارا نہ تھا
مصلحت نے اجنبی ہم کو بنایا تھا عدیمؔ
ورنہ کب اک دوسرے کو ہم نے پہچانا نہ تھا




