
Faasle Aise Bhi Honge Ye Kabhi Socha Na Tha
Adeem Hashmi
Faasle Aise Bhi Honge Ye Kabhi Socha Na Tha
Saamne Baitha Tha Mere Aur Woh Mera Na Tha
Woh Ke Khushbu Ki Tarah Phela Tha Mere Chaar Soo
Main Use Mehsoos Kar Sakta Tha, Chhoo Sakta Na Tha
Raat Bhar Pichhli Hi Aahat Kaan Mein Aati Rahi
Jhaank Kar Dekha Gali Mein Koi Bhi Aaya Na Tha
Aks To Maujood Tha Par Aks Tanhai Ka Tha
Aaina To Tha Magar Us Mein Tera Chehra Na Tha
Aaj Us Ne Dard Bhi Apne Alag Kar Liye
Aaj Main Roya To Mere Saath Woh Roya Na Tha
Ye Sabhi Veeraniyaan Us Ke Juda Hone Se Theen
Aankh Dhandhlaai Hui Thi, Sheher Dhandhlaaya Na Tha
Yaad Kar Ke Aur Bhi Takleef Hoti Thi “Adeem”
Bhool Jaane Ke Siva Ab Koi Bhi Chaara Na Tha
فاصلے ایسے بھی ہونگے یہ کبھی سوچا نہ تھا
سامنے بیٹھا تھا میرے اور وہ میرا نہ تھا
وہ کہ خوشبو کی طرح پھیلا تھا میرے چار سو
میں اسے محسوس کر سکتا تھا چھو سکتا نہ تھا
رات بھر پچھلی ہی آہٹ کان میں آتی رہی
جھانک کر دیکھا گلی میں کوئی بھی آیا نہ تھا
عکس تو موجود تھا پر عکس تنہائی کا تھا
آئنہ تو تھا مگر اس میں ترا چہرا نہ تھا
آج اس نے درد بھی اپنے علیحدہ کر لیے
آج میں رویا تو میرے ساتھ وہ رویا نہ تھا
یہ سبھی ویرانیاں اس کے جدا ہونے سے تھیں
آنکھ دھندلائی ہوئی تھی شہر دھندلایا نہ تھا
یاد کر کے اور بھی تکلیف ہوتی تھی “عدیم”
بھول جانے کے سوا اب کوئی بھی چارہ نہ تھا
Dil Tha Ke Khush Khayaal Tujhe Dekh Kar Hua – Noshi Gilani
Jab Gulstaan Mein Baharon Ke Qadam Aate Hain – Saghar
Yeh Dhoop Kinara, Shaam Dhale (Lyrics) – Faiz Ahmad Faiz




