Allama IqbalZarb-e-Kaleem

Fitrat Ke Maqasid Ki Karta Hai Nigehbani- Allama Iqbal Poetry

Fitrat Ke Maqasid Ki Karta Hai Nigehbani

Allama Iqbal PoetryZarb-e-Kaleem

 

Fitrat Ke Maqasid Ki Karta Hai Nigehbani
Ya Banda-e-Sehrai Ya Mard-e-Kuhistani

فطرت کے مقاصد کي کرتا ہے نگہباني
يا بندہ صحرائي يا مرد کہستاني

Dunya Mein Muhasib Hai Tehzeeb-e-Fasoon Gar Ka
Hai Iss Ki Faqeeri Mein Sarmaya-e-Sultani

دنيا ميں محاسب ہے تہذيب فسوں گر کا
ہے اس کي فقيري ميں سرمايہ سلطاني

Ye Husn-o-Latafat Kyun, Woh Quwwat-o-Shoukat Kyun
Bulbul Chamanistani, Shahbaz Byabani !

يہ حسن و لطافت کيوں ؟ وہ قوت و شوکت کيوں
بلبل چمنستاني ، شہباز بياباني!

Ae Sheikh! Bohat Achi Maktab Ki Faza, Lekin
Banti Hai Byaban Mein Farooqi-o-Salmani

اے شيخ ! بہت اچھي مکتب کي فضا ، ليکن
بنتي ہے بياباں ميں فاروقي و سلماني

Sadiyon Mein Kahin Paida Hota Hai Hareef Uss Ka
Talwar Hai Taizi Mein Sehbaye Musalmani!

صديوں ميں کہيں پيدا ہوتا ہے حريف اس کا
تلوار ہے تيزي ميں صہبائے مسلماني

 

Uss Qoum Ko Shamsheer Ki Hajat Nahin Rehti 
Tasawwuf – Ye Hikmat-e-Malkooti Ye Ilm-e-Lahooti 
Hamdardi – Tehni Pay Kisi Shajer Ki Tanha

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *