
Ghar Se Nikal Kar Apne Tere Aastan Tak Pahunchun
Ghar Se Nikal Kar Apne Tere Aastan Tak Pahunchun
Gumaan Ke Rangon Mein Had-e-Gumaan Tak Pahunchun
Phir Unhi Mausamon Ke Darmiyan Chalte Chalte
Baharon Se Nikalte Hue Khizaan Tak Pahunchun
Raat To Baqi Hai Abhi Jaane Ka Faisla Na Karo
Teri Aankhon Se Main Ishq Ki Daastan Tak Pahunchun
Kayi Sadiyon Se Musafat Ko Sameta Hai Main Ne
Tu Hi Bata De Ab Main Aur Kahan Tak Pahunchun
Tujhe Aangan Mein Sitaron Ki Tarah Sajane Ke Liye
Zameen Pe Rang Sajaoon Aur Aasmaan Tak Pahunchun
گھر سے نکل کر اپنے تیرے آستاں تک پہنچوں
گماں کے رنگوں میں حد گماں تک پہنچوں
پھر انہی موسموں کے درمیاں چلتے چلتے
بہاروں سے نکلتے ھوئے خزاں تک پہنچوں
رات تو باقی ھے ابھی جانے کا فیصلہ نہ کرو
تیری آنکھوں سے میں عشق کی داستاں تک پہنچوں
کئی صدیوں سے مسافت کو سمیٹا ھے میں نے
تو ہی بتا دے اب میں اور کہاں تک پہنچوں
تجھے آنگن میں ستاروں کی طرح سجانے کے لیے
زمیں پہ رنگ سجاوں اور آسماں تک پہنچوں
Haath Khaali Hain Tere Sheher Se Jaate Jaate – Rahat Indori
Woh Purane Din Woh Suhane Din (Lyrics)
Azeez Itna Hi Rakho Ke Ji Sambhal Jaye – Urdu Ghazal