Habib Jalib

Ghazal – Baatein To Kuch Aisi Hain Ke Khud Se Bhi Na Ki Jaayein

باتیں تو کچھ ایسی ہیں کہ خود سے بھی نہ کی جائیں - غزل

Baatein To Kuch Aisi Hain Ke Khud Se Bhi Na Ki Jaayein
Poet: Habib Jalib

Baatein To Kuch Aisi Hain Ke Khud Se Bhi Na Ki Jaayein
Socha Hai Khamoshi Se Har Ek Zeher Ko Pee Jaayein

Apna To Nahin Koi Wahan Poochhne Wala
Is Bazm Mein Jaana Hai Jinhain Ab To Wohi Jaayein

Ab Tujh Se Humein Koi Talluq Nahin Rakhna
Acha Ho Ke Dil Se Teri Yaadein Bhi Chali Jaayein

Ek Umar Uthaaye Hain Sitam Ghair Ke Hum Ne
Apnon Ki To Ek Pal Bhi Jafaayein Na Sahi Jaayein

Jalib Gham-e-Dauran Ho Ke Yaad-e-Rukh-e-Janaan
Tanha Mujhe Rehne Dein Mere Dil Se Sabhi Jaayein

باتیں تو کچھ ایسی ہیں کہ خود سے بھی نہ کی جائیں
سوچا ہے خموشی سے ہر اک زہر کو پی جائیں

اپنا تو نہیں کوئی وہاں پوچھنے والا
اس بزم میں جانا ہے جنہیں اب تو وہی جائیں

اب تجھ سے ہمیں کوئی تعلق نہیں رکھنا
اچھا ہو کہ دل سے تری یادیں بھی چلی جائیں

اک عمر اٹھائے ہیں ستم غیر کے ہم نے
اپنوں کی تو اک پل بھی جفائیں نہ سہی جائیں

جالبؔ غم دوراں ہو کہ یاد رخ جاناں
تنہا مجھے رہنے دیں مرے دل سے سبھی جائیں

 

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *