Ghazal

Ghazal – Bas Ek Rasta Hai, Ek Aawaaz Aur Ek Saaya Hai

Ghazal – Bas Ek Rasta Hai, Ek Aawaaz Aur Ek Saaya Hai

Saleem Kausar Poetry

 

Bas Ek Rasta Hai, Ek Aawaaz Aur Ek Saaya Hai
Yeh Kis Ne Aa Ke Gehri Neend Se Mujh Ko Jagaya Hai

Bichharti Aur Milti Sa’aton Ke Darmiyan Ek Pal
Yahi Ek Pal Bachane Ke Liye Sab Kuch Gunwaya Hai

Idhar Yeh Dil Abhi Tak Hai Aseer-E-Wahshat-E-Sehra
Udhar Is Aankh Ne Charon Taraf Pehra Bithaya Hai

Tumhein Kaise Batayen Jhoot Kya Hai Aur Sach Kya Hai
Na Tum Ne Aaina Dekha Na Aaina Dikhaya Hai

Humein Ek Ism-E-Azam Yaad Hai, Woh Saath Hai, Hum Ne
Kai Baar Aasmaan Ko In Zameenon Par Bulaya Hai

Kahan Tak Rokte Aankhon Mein Abr-O-Baad-E-Hijran Ko
Ab Aaye Ho Ke Jab Yeh Shehar Zeer-E-Aab Aaya Hai

Saleem Ab Tak Kisi Ko Bad-Dua Di To Nahi Lekin
Hamesha Khush Rahe Jis Ne Hamara Dil Dukhaya Hai

بس اک رستہ ہے اک آواز اور ایک سایا ہے
یہ کس نے آ کے گہری نیند سے مجھ کو جگایا ہے

بچھڑتی اور ملتی ساعتوں کے درمیان اک پل
یہی اک پل بچانے کے لیے سب کچھ گنوایا ہے

ادھر یہ دل ابھی تک ہے اسیر وحشت صحرا
ادھر اس آنکھ نے چاروں طرف پہرہ بٹھایا ہے

تمہیں کیسے بتائیں جھوٹ کیا ہے اور سچ کیا ہے
نہ تم نے آئنہ دیکھا نہ آئینہ دکھایا ہے

ہمیں اک اسم اعظم یاد ہے وہ ساتھ ہے، ہم نے
کئی بار آسماں کو ان زمینوں پر بلایا ہے

کہاں تک روکتے آنکھوں میں ابر و باد ہجراں کو
اب آئے ہو کہ جب یہ شہر زیر آب آیا ہے

سلیمؔ اب تک کسی کو بد دعا دی تو نہیں لیکن
ہمیشہ خوش رہے جس نے ہمارا دل دکھایا ہے

Ghazal – Ab Ahl-E-Dard Yeh Jeene Ka Ahtimaam Karein
Mujhe Gale Se Laga Lo Bahut Udaas Hoon Main – Sahir Ludhianvi
Sabhi Kuch Hai Tera Diya Hua Sabhi Rahtein Sabhi Kulfatein – Faiz

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *