
Charagh-e-Raah Bujha Kya, Ke Rehnuma Bhi Gaya
Parveen Shakir
Charagh-e-Raah Bujha Kya, Ke Rehnuma Bhi Gaya
Hawa Ke Saath Musafir Ka Naqsh-e-Pa Bhi Gaya
Main Phool Chunti Rahi Aur Mujhe Khabar Na Hui
Woh Shakhs Aake Mere Sheher Se Chala Bhi Gaya
Bohat Aziz Sahi Uss Ko Meri Dildari
Magar Ye Hai Ke Kabhi Dil Mera Dukha Bhi Gaya
Ab Un Darichon Pe Gehre Dabeez Parday Hain
Woh Taak Jhaank Ka Masoom Silsila Bhi Gaya
Sab Aaye Meri Iyaadat Ko, Woh Bhi Aaya
Jo Sab Gaye To Mera Dard Aashna Bhi Gaya
Ye Ghurbaatein Meri Aankhon Mein Kaisi Ut’ri Hain
Ke Khwab Bhi Mere Rukhsat Hain, Rutjaga Bhi Gaya
چراغِ راہ بُجھا کیا ، کہ رہنما بھی گیا
ہَوا کے ساتھ مسافر کا نقشِ پا بھی گیا
میں پُھول چنتی رہی اور مجھے خبر نہ ہُوئی
وہ شخص آکے مرے شہر سے چلا بھی گیا
بہت عزیز سہی اُس کو میری دلداری
مگر یہ ہے کہ کبھی دل مرا دُکھا بھی گیا
اب اُن دریچوں پہ گہرے دبیز پردے ہیں
وہ تاک جھانک کا معصوم سلسلہ بھی گیا
سب آئے میری عیادت کو، وہ بھی آیا
جو سب گئے تو مرا درد آشنا بھی گیا
یہ غربتیں مری آنکھوں میں کسی اُتری ہیں
کہ خواب بھی مرے رُخصت ہیں، رتجگا بھی گیا
پروین شاکر


