Amjad Islam Amjad

Ghazal – Hisaab-e-Umr Ka Itna Sa Goshwaara Hai

Ghazal – Hisaab-e-Umr Ka Itna Sa Goshwaara Hai

Poet — Amjad Islam Amjad

 

Hisaab-e-Umr Ka Itna Sa Goshwaara Hai
Tumhein Nikaal Ke Dekha To Sab Khasaara Hai

Kisi Chiraagh Mein Hum Hain Kisi Kanwal Mein Tum
Kahin Jamaal Hamaara Kahin Tamaara Hai

Woh Kya Wisaal Ka Lamha Tha Jis Ke Nashe Mein
Tamaam Umr Ki Furqat Humein Gawaara Hai

Har Ik Sada Jo Humein Baazgasht Lagti Hai
Najaane Hum Hain Dobaara Ke Yeh Dobaara Hai

Woh Munkashif Meri Aankhon Mein Ho Ke Jalwe Mein
Har Ek Husn Kisi Husn Ka Ishaara Hai

Ajab Usool Hain Is Kaarobaar-e-Duniya Ke
Kisi Ka Qarz Kisi Aur Ne Utaara Hai

Kahin Pe Hai Koi Khushboo Ke Jis Ke Hone Ka
Tamaam Aalam-e-Maujood Isti’aara Hai

Najaane Kab Tha Kahaan Tha Magar Yeh Lagta Hai
Yeh Waqt Pehle Bhi Hum Ne Kabhi Guzaara Hai

Yeh Do Kinaare To Darya Ke Ho Gaye Hum Tum
Magar Woh Kaun Hai Jo Teesra Kinaara Hai?

— Amjad Islam Amjad


حسابِ عمر کا اتنا سا گوشوارا ہے
تمہیں نکال کے دیکھا تو سب خسارا ہے
کسی چراغ میں ہم ہیں کسی کنول میں تم
کہیں جمال ہمارا کہیں تمہارا ہے
وہ کیا وصال کا لمحہ تھا جس کے نشے میں
تمام عمر کی فرقت ہمیں گوارا ہے
ہر اِک صدا جو ہمیں بازگشت لگتی ہے
نجانے ہم ہیں دوبارہ کہ یہ دوبارہ ہے
وہ منکشف میری آنکھوں میں ہو کہ جلوے میں
ہر ایک حُسن کسی حُسن کا اشارہ ہے
عجب اُصول ہیں اِس کاروبارِ دُنیا کے
کسی کا قرض کسی اور نے اُتارا ہے
کہیں پہ ہے کوئی خُوشبو کہ جس کے ہونے کا
تمام عالمِ موجود استعارہ ہے
نجانے کب تھا کہاں تھا مگر یہ لگتا ہے
یہ وقت پہلے بھی ہم نے کبھی گزارا ہے
یہ دو کنارے تو دریا کے ہو گئے ہم تم
مگر وہ کون ہے جو تیسرا کنارا ہے؟
امجد اسلام امجد

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *