Gulzar

Ghazal – Shaam Se Aankh Mein Nami Si Hai | Gulzar

Ghazal – Shaam Se Aankh Mein Nami Si Hai

Poet: Gulzar


Shaam Se Aankh Mein Nami Si Hai
Aaj Phir Aap Ki Kami Si Hai

Dafn Kar Do Humein Ke Saans Mile
Nabz Kuch Dair Se Thami Si Hai

Kaun Pathra Gaya Hai Aankhon Mein?
Barf Palkon Pe Kyun Jami Si Hai?

Waqt Rehta Nahi Kahin Tik Kar
Is Ki Aadat Bhi Aadmi Si Hai

Koi Rishta Nahi Raha, Phir Bhi
Ek Tasleem Lazmi Si Hai

Aaiye! Raaste Alag Kar Lein
Yeh Zarurat Bhi Bahami Si Hai

— Gulzar


شام سے آنکھ میں نَمی سی ھے
آج پِھر آپ کی کمی سی ھے
دفن کر دو ھمیں کہ سانس مِلے
نبض کچھ دیر سے تَھمی سی ھے
کون پتھرا گیا ھے آنکھوں میں ؟؟
برف پلکوں پہ کیوں جَمی سی ھے؟؟
وقت رھتا نہیں کہیں ٹِک کر
اِس کی عادت بھی آدمی سی ھے
کوئی رشتہ نہیں رھا ، پِھر بھی
ایک تسلیم لازمی سی ھے
آئیے ! راستے الگ کر لیں
یہ ضرورت بھی باھمی سی ھے

گلزارؔ

 

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *