
Ghazal – Teri Khushboo Ka Pata Karti Hai
Poet: Parveen Shakir
Teri Khushboo Ka Pata Karti Hai
Mujh Pe Ehsaan Hua Karti Hai
Choom Kar Phool Ko Aahista Se
Mo’jiza Baad-e-Saba Karti Hai
Khol Kar Band Qaba Gul Ke Hawa
Aaj Khushboo Ko Rihā Karti Hai
Abr Barse To Inaayat Us Ki
Shaakh To Sirf Dua Karti Hai
Zindagi Phir Se Fiza Mein Roshan
Mash’al-e-Barg-e-Hina Karti Hai
Hum Ne Dekhi Hai Woh Ujli Sa’at
Raat Jab She’r Kahā Karti Hai
Shab Ki Tanhaai Mein Ab To Aksar
Guftagu Tujh Se Raha Karti Hai
Dil Ko Us Raah Pe Chalna Hi Nahin
Jo Mujhe Tujh Se Judā Karti Hai
Zindagi Meri Thi Lekin Ab To
Tere Kehne Mein Raha Karti Hai
Us Ne Dekha Hi Nahin Warna Yeh Aankh
Dil Ka Ahwaal Kahā Karti Hai
Mushaf-e-Dil Pe Ajab Rangon Mein
Ek Tasveer Banā Karti Hai
Be-Niyaaz Kaf-e-Darya Angusht
Reet Par Naam Likhā Karti Hai
Dekh To Aan Ke Chehra Mera
Ek Nazar Bhi Teri Kya Karti Hai
Zindagi Bhar Ki Yeh Taakheer Apni
Ranj Milne Ka Sawa Karti Hai
Shaan Par’te Hi Kisi Shakhs Ki Yaad
Koocha-e-Jaan Mein Sada Karti Hai
Mas’ala Jab Bhi Chiraaghon Ka Utha
Faisla Sirf Hawa Karti Hai
Mujh Se Bhi Us Ka Hai Waisa Hi Suloook
Haal Jo Tera Anaa Karti Hai
Dukh Hua Karta Hai Kuch Aur Bayaan
Baat Kuch Aur Hua Karti Hai
Ghazal – Teri Khushboo Ka Pata Karti Hai
(Poetry in Urdu)
تیری خوشبو کا پتا کرتی ہے
مجھ پہ احسان ہوا کرتی ہے
چوم کر پھول کو آہستہ سے
معجزہ باد صبا کرتی ہے
کھول کر بند قبا گل کے ہوا
آج خوشبو کو رہا کرتی ہے
ابر برسے تو عنایت اس کی
شاخ تو صرف دعا کرتی ہے
زندگی پھر سے فضا میں روشن
مشعل برگ حنا کرتی ہے
ہم نے دیکھی ہے وہ اجلی ساعت
رات جب شعر کہا کرتی ہے
شب کی تنہائی میں اب تو اکثر
گفتگو تجھ سے رہا کرتی ہے
دل کو اس راہ پہ چلنا ہی نہیں
جو مجھے تجھ سے جدا کرتی ہے
زندگی میری تھی لیکن اب تو
تیرے کہنے میں رہا کرتی ہے
اس نے دیکھا ہی نہیں ورنہ یہ آنکھ
دل کا احوال کہا کرتی ہے
مصحف دل پہ عجب رنگوں میں
ایک تصویر بنا کرتی ہے
بے نیاز کف دریا انگشت
ریت پر نام لکھا کرتی ہے
دیکھ تو آن کے چہرہ میرا
اک نظر بھی تری کیا کرتی ہے
زندگی بھر کی یہ تاخیر اپنی
رنج ملنے کا سوا کرتی ہے
شام پڑتے ہی کسی شخص کی یاد
کوچۂ جاں میں صدا کرتی ہے
مسئلہ جب بھی چراغوں کا اٹھا
فیصلہ صرف ہوا کرتی ہے
مجھ سے بھی اس کا ہے ویسا ہی سلوک
حال جو تیرا انا کرتی ہے
دکھ ہوا کرتا ہے کچھ اور بیاں
بات کچھ اور ہوا کرتی ہے