
Ghazal – Thahar Thahar Ke Khudara Kalaam Keejiye Naa
Thahar Thahar Ke Khudara Kalaam Keejiye Naa
Udaas Shab Ka Bhi Kuch Ehteraam Keejiye Naa
Suna Hai Aap Ki Aankhein Hain Baadshah Aankhein
Nazar Uthaaiye Hum Ko Ghulaam Keejiye Naa
Yeh Chand Ahl-e-Mohabbat Ka Peer-o-Murshid Hai
Yeh Aa Gaya Hai To Uth Kar Salaam Keejiye Naa
Woh Shaam Jis Mein Sitaron Ke Bhaag Jaagte Hain
Ek Aisi Shaam Hamaare Bhi Naam Keejiye Naa
Maqaam-e-Ishq Ko Shahbaz Gar Samajhna Hai
To Dil Ke Ghaar-e-Hira Mein Qayaam Keejiye Naa
ٹھہر ٹھہر کے خدارا کلام کیجئے ناں
اداس شب کا بھی کچھ احترام کیجئے ناں
سنا ہے آپ کی آنکھیں ہیں بادشاہ آنکھیں
نظر اٹھائیے ہم کو غلام کیجئے ناں
یہ چند اہل محبت کا پیر و مرشد ہے
یہ آ گیا ہے تو اٹھ کر سلام کیجئے ناں
وہ شام جس میں ستاروں کے بھاگ جاگتے ہیں
اک ایسی شام ہمارے بھی نام کیجئے ناں
مقام عشق کو شہبازؔ گر سمجھنا ہے
تو دل کے غار حرا میں قیام کیجئے ناں



