
Thay Khawab Ek Hamare Bhi Aur Tumhare Bhi
Amjad Islam Amjad
Thay Khawab Ek Hamare Bhi Aur Tumhare Bhi
Par Apna Khail Dikhatay Rahe Sataaray Bhi
Yeh Zindagi Hai Yahan Is Tarah Hi Hota Hai
Sabhi Ne Bojh Se Laaday Hain Kuch Utaaray Bhi
Sawal Yeh Hai Ke Aapas Mein Hum Milain Kaise
Hamesha Saath To Chaltay Hain Do Kinare Bhi
Kisi Ka Apna Mohabbat Mein Kuch Nahi Hota
Ke Mushtarak Hain Yahan Sood Bhi Khasaray Bhi
Bigaar Par Hai Jo Tanqeed Sab Baja Lekin
Tumhare Hissay Ke Jo Kaam Thay Sanwaray Bhi
Baray Sukoon Se Doobay Thay Doobnay Walay
Jo Sahilon Pe Khare Thay Bohat Pukaray Bhi
Phir Jaise Rail Mein Do Ajnabi Musafir Hon
Safar Mein Saath Rahay Yun To Hum Tumhare Bhi
Yahi Sahi Teri Marzi Samajh Na Paye Hum
Khuda Gawah Ke Mubeham Thay Kuch Ishaare Bhi
Yahi To Ek Hawala Hai Mere Honay Ka
Yahi Girati Hai Mujh Ko Yahi Utaaray Bhi
Isi Zameen Mein Ek Din Mujhe Bhi Sona Hai
Isi Zameen Ki Amanat Hain Mere Pyare Bhi
Woh Ab Jo Dekh Ke Pehchante Nahi Amjad
Hai Kal Ki Baat Ye Lagtay Thay Kuch Hamare Bhi
تھے خواب ایک ہمارے بھی اور تمہارے بھی
پر اپنا کھیل دکھاتے رہے ستارے بھی
یہ زندگی ہے یہاں اس طرح ہی ہوتا ہے
سبھی نے بوجھ سے لادے ہیں کچھ اتارے بھی
سوال یہ ہے کہ آپس میں ہم ملیں کیسے
ہمیشہ ساتھ تو چلتے ہیں دو کنارے بھی
کسی کا اپنا محبت میں کچھ نہیں ہوتا
کہ مشترک ہیں یہاں سود بھی خسارے بھی
بگاڑ پر ہے جو تنقید سب بجا لیکن
تمہارے حصے کے جو کام تھے سنوارے بھی
بڑے سکون سے ڈوبے تھے ڈوبنے والے
جو ساحلوں پہ کھڑے تھے بہت پکارے بھی
پہ جیسے ریل میں دو اجنبی مسافر ہوں
سفر میں ساتھ رہے یوں تو ہم تمہارے بھی
یہی سہی تری مرضی سمجھ نہ پائے ہم
خدا گواہ کہ مبہم تھے کچھ اشارے بھی
یہی تو ایک حوالہ ہے میرے ہونے کا
یہی گراتی ہے مجھ کو یہی اتارے بھی
اسی زمین میں اک دن مجھے بھی سونا ہے
اسی زمیں کی امانت ہیں میرے پیارے بھی
وہ اب جو دیکھ کے پہچانتے نہیں امجدؔ
ہے کل کی بات یہ لگتے تھے کچھ ہمارے بھی
Ghazal – Woh Aay Ke Samne Jis Waqt Muskurate Hain
Lutf Woh Ishq Mein Paaye Hain Ke Jee Jaanta Hai – Dagh Dehlvi




