
Toot Jata Hai Sitaron Ka Bahram Raat Gaye
ٹوٹ جاتا ہے ستاروں کا بھرم رات گئے
جگمگاتے ہیں ترے نقش قدم رات گئے
کیا بتائیں جو گزرتی ہے ہمارے دل پر
یاد آتے ہیں جب اپنوں کے ستم رات گئے
غرق ہو جاتی ہے جب نیند میں ساری دنیا
جاگ اٹھتے ہیں ادیبوں کے قلم رات گئے
روز آتے ہیں صدا دے کے چلے جاتے ہیں
دل کے دروازے پہ کچھ اہل کرم رات گئے
روک لیتی ہے تری یاد سہارا بن کر
ڈگمگاتے ہیں اگر میرے قدم رات گئے
جن کی امید میں ہم دن کو جیا کرتے ہیں
ٹوٹ جاتے ہیں وہی قول و قسم رات گئے
جن کی قسمت میں نہیں دن کا اجالا منصورؔ
ان چراغوں میں جلا کرتے ہیں ہم رات گئے
منصور عثمانی
Toot Jata Hai Sitaron Ka Bahram Raat Gaye
Jagmagate Hain Tere Naqsh-e-Qadam Raat Gaye
Kya Batayen Jo Guzarti Hai Hamare Dil Par
Yaad Aate Hain Jab Apnon Ke Sitam Raat Gaye
Gharq Ho Jati Hai Jab Neend Mein Saari Duniya
Jaag Uthte Hain Adeebon Ke Qalam Raat Gaye
Roz Aate Hain Sada De Ke Chale Jate Hain
Dil Ke Darwaze Pe Kuch Ahl-e-Karam Raat Gaye
Rok Leti Hai Teri Yaad Sahara Ban Kar
Dagmagate Hain Agar Mere Qadam Raat Gaye
Jin Ki Umeed Mein Hum Din Ko Jiya Karte Hain
Toot Jate Hain Wohi Qaul-o-Qasam Raat Gaye
Jin Ki Qismat Mein Nahin Din Ka Ujala Mansoor
Un Charaghon Mein Jala Karte Hain Hum Raat Gaye
Lazim Tha Ke Dekho Mera Rasta Koi Din Aur – Ghalib
Khilone Kheltay Gum Ho Gaya Tha Bachpan Mein – Poetry
Mehfil Aara The Magar Phir Kam Numa Hotay Gaye – Munir Niazi




