Ada Jafarey

Gulon Si Guftagu Karein Qayamaton Ke Darmiyan – Ada Jafarey

Gulon Si Guftagu Karein Qayamaton Ke Darmiyan
Ada Jafarey

Gulon Si Guftagu Karein Qayamaton Ke Darmiyan
Hum Aise Log Ab Milen Hikayaton Ke Darmiyan

Lehulahan Ungliyan Hain Aur Chup Khadi Hoon Main
Gul O Saman Ki Be Panah Chaahton Ke Darmiyan

Hathlion Ki Oot Hi Charagh Le Chaloon Abhi
Abhi Sehar Ka Zikr Hai Riwayaton Ke Darmiyan

Jo Dil Mein Thi Nigah Si Nigah Mein Kiran Si Thi
Woh Dastaan Ulajh Gai Wazahaton Ke Darmiyan

Sahifah-e-Hayat Mein Jahan Jahan Likhi Gai
Likhi Gai Hadith Jaan Jarahton Ke Darmiyan

Koi Nagar Koi Gali Shajar Ki Chhaon Hi Sahi
Yeh Zindagi Na Kat Sake Masafatoun Ke Darmiyan

Ab Us Ke Khaal O Khud Ka Rang Mujh Se Pooshna Abs
Nighah Jhupak Jhupak Gai Aradaton Ke Darmiyan

Saba Ka Haath Thaam Kar Adaa Na Chal Sakogi Tum
Tamam Umar Khwab Khwab Saathon Ke Darmiyan

گلوں سی گفتگو کریں قیامتوں کے درمیاں
ہم ایسے لوگ اب ملیں حکایتوں کے درمیاں

لہولہان انگلیاں ہیں اور چپ کھڑی ہوں میں
گل و سمن کی بے پناہ چاہتوں کے درمیاں

ہتھیلیوں کی اوٹ ہی چراغ لے چلوں ابھی
ابھی سحر کا ذکر ہے روایتوں کے درمیاں

جو دل میں تھی نگاہ سی نگاہ میں کرن سی تھی
وہ داستاں الجھ گئی وضاحتوں کے درمیاں

صحیفۂ حیات میں جہاں جہاں لکھی گئی
لکھی گئی حدیث جاں جراحتوں کے درمیاں

کوئی نگر کوئی گلی شجر کی چھاؤں ہی سہی
یہ زندگی نہ کٹ سکے مسافتوں کے درمیاں

اب اس کے خال و خد کا رنگ مجھ سے پوچھنا عبث
نگہ جھپک جھپک گئی ارادتوں کے درمیاں

صبا کا ہاتھ تھام کر اداؔ نہ چل سکوگی تم
تمام عمر خواب خواب ساعتوں کے درمیاں

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *