
Guzre Dinnon Ki Yaad Barasti Ghata Lage
Qateel Shifai
Guzre Dinnon Ki Yaad Barasti Ghata Lage
Guzrein Jo Us Gali Se To Thandi Hawa Lage
Mehmaan Ban Ke Aaye Kisi Roz Agar Woh Shakhs
Us Roz Ban Sajaaye Mera Ghar Saja Lage
Main Is Liye Manata Nahin Wasl Ki Khushi
Mere Raqeeb Ki Na Mujhe Bad Dua Lage
Woh Qahat Dosti Ka Pada Hai Ke Un Dinnon
Jo Muskura Ke Baat Kare Aashnaa Lage
Tark-e-Wafa Ke Baad Ye Us Ki Ada “Qateel”
Mujhko Sataaye Koi To Us Ko Bura Lage
— Qateel Shifai
گزرے دنوں کی یاد برستی گھٹا لگے
گزریں جو اس گلی سے تو ٹھنڈی ہوا لگے
مہمان بن کے آئے کسی روز اگر وہ شخص
اس روز بن سجائےمیرا گھر سجا لگے
میں اس لیے مناتا نہیں وصل کی خوشی
میرے رقیب کی نہ مجھے بد دعا لگے
وہ قحط دوستی کا پڑا ہے کہ ان دنوں
جو مسکرا کے بات کرئے آشنا لگے
ترکِ وفا کے بعد یہ اس کی ادا قتیل
مجھکو ستائے کوئی تو اس کو برا لگے
قتیل شفائی