
Guzre Hue Taweel Zamaane Ke Baad Bhi
Poet: Adeem Hashmi
Guzre Hue Taweel Zamaane Ke Baad Bhi
Dil Mein Raha Woh Chhor Ke Jaane Ke Baad Bhi
Pehlu Mein Reh Ke Dil Ne Diya Hai Bahut Fareb
Rakkha Hai Us Ko Yaad Bhulaane Ke Baad Bhi
Woh Husn Hai Kisi Mein Nahi Taab-e-Deed Ki
Pinhaan Hai Woh Naqaab Uthaane Ke Baad Bhi
Qurbat Ke Baad Aur Bhi Qurbat Ki Hai Talaash
Dil Mutma’in Nahi Tere Aane Ke Baad Bhi
Go Tu Yahan Nahi Hai Magar Tu Yahin Pe Hai
Tera Hi Zikr Hai Tere Jaane Ke Baad Bhi
Saari Zameen Ka Noor Bhi Sooraj Na Ban Saka
Shab Hi Rahi Chiraagh Jalaane Ke Baad Bhi
Naar-e-Hasad Ne Dil Ko Jalaya Hai Yun Adeem
Yeh To Nishaan Rahe Ga Mitaane Ke Baad Bhi
Lagta Hai Kuch Kaha Hi Nahi Hai Use Adeem
Dil Ka Tamaam Haal Sunaane Ke Baad Bhi
گُزرے ہوئے طویل زمانے کے بعد بھی
دِل میں رہا وہ چھوڑ کے جانے کے بعد بھی
پہلو میں رہ کے دِل نے دیا ہے بہت فریب
رکھا ہے اُس کو یاد بُھلانے کے بعد بھی
وہ حسن ہے کسی میں نہیں تابِ دِید کی
پنہاں ہے وہ نقاب اُٹھانے کے بعد بھی
قُربت کے بعد اور بھی قُربت کی ہے تلاش
دِل مطمئں نہیں تیرے آنے کے بعد بھی
گو تُو یہاں نہیں ہے مگر تُو یہیں پہ ہے
تیرا ہی ذِکر ہے تیرے جانے کے بعد بھی
ساری زمیں کا نُور بھی سُورج نہ بن سکا
شب ہی رہی چراغ جلانے کے بعد بھی
نارِ حسد نے دِل کو جلایا ہے یوں عدیم
یہ تو نشاں رہے گا مِٹانے کے بعد بھی
لگتا ہے کُچھ کہا ہی نہیں ہے اُسے عدیم
دِل کا تمام حال سُنانے کے بعد بھی




