
Haal-o-Maqam
Zinda-o-Baidar Agar Ho To Batadreej
Allama Iqbal Poetry | Bal-e-Jibril
Dil Zinda-o-Baidar Agar Ho To Batadreej
Bande Ko Atta Karte Hain Chashme-e-Nigran Aur
دل زندہ و بیدار اگر ہو تو بتدریج
بندے کو عطاکرتے ہیں چشمِ نگراں اور!
Ahwal-o-Maqamat Pe Mouqoof Hai Sub Kuch
Har Lehza Hai Salik Ka Zaman Aur Makan Aur
احوال و مقامات پہ موقوف ہے سب کچھ
ہر لحظہ ہے سالک کا زماں اور مکاں اور!
Alfaz-o-Maani Mein Tafawat Nahin Lekin
Mullah Ki Azan Aur, Mujahid Ki Azan Aur
الفاظ و معانی میں تفاوت نہیں لیکن
ملاّ کی اذاں اور، مجاہد کی اذاں اور!
Parwaz Hai Dono Ki Issi Aik Faza Mein
Kargas Ka Jahan Aur Hai, Shaheen Ka Jahan Aur
پرواز ہے دونوں کی اسی ایک فضا میں
کرگس کا جہاں اور ہے، شاہیں کا جہاں اور
Deen-o-Siasat – Kalisa Ki Bunyad Ruhbaniyat Thi
Na Saliqa Mujh Mein Kaleem Ka
Musalman Ka Zawal
La Phir Ek Baar Wohi Bada-o-Jaam Ae Saqi