
Hai Ajeeb Sheher Ki Zindagi – Bashir Badr
Hai Ajeeb Sheher Ki Zindagi Na Safar Raha Na Qayaam Hai
Kahin Kaarobaar Si Dopahar Kahin Bad Mizaaj Si Shaam Hai
Yunhi Roz Milne Ki Aarzoo Bari Rakh Rakhaao Ki Guftagu
Ye Sharaften Nahin Be Gharaz Ise Aap Se Koi Kaam Hai
Kahan Ab Duaon Ki Barkatein Woh Naseehatein Woh Hidayatein
Ye Mataalibon Ka Khuloos Hai Ye Zaruraton Ka Salaam Hai
Woh Dilon Mein Aag Lagaaye Ga Main Dilon Ki Aag Bujhaaoon Ga
Ise Apne Kaam Se Kaam Hai Mujhe Apne Kaam Se Kaam Hai
Na Udaas Ho Na Malaal Kar Kisi Baat Ka Na Khayaal Kar
Kayi Saal Baad Mile Hain Hum Tere Naam Aaj Ki Shaam Hai
Koi Naghma Dhoop Ke Gaon Sa Koi Naghma Shaam Ki Chhaon Sa
Zara Un Parindon Se Poochhna Ye Kalaam Kis Ka Kalaam Hai
ہے عجیب شہر کی زندگی نہ سفر رہا نہ قیام ہے
کہیں کاروبار سی دوپہر کہیں بد مزاج سی شام ہے
یونہی روز ملنے کی آرزو بڑی رکھ رکھاؤ کی گفتگو
یہ شرافتیں نہیں بے غرض اسے آپ سے کوئی کام ہے
کہاں اب دعاؤں کی برکتیں وہ نصیحتیں وہ ہدایتیں
یہ مطالبوں کا خلوص ہے یہ ضرورتوں کا سلام ہے
وہ دلوں میں آگ لگائے گا میں دلوں کی آگ بجھاؤں گا
اسے اپنے کام سے کام ہے مجھے اپنے کام سے کام ہے
نہ اداس ہو نہ ملال کر کسی بات کا نہ خیال کر
کئی سال بعد ملے ہیں ہم ترے نام آج کی شام ہے
کوئی نغمہ دھوپ کے گاؤں سا کوئی نغمہ شام کی چھاؤں سا
ذرا ان پرندوں سے پوچھنا یہ کلام کس کا کلام ہے
Chaman Mein Rang Bahaar Utra To Main Ne Dekha – Ghazal
Kisi Ke Dukh Ko Zarurat Thi Pardah Poshi Ki – Sajid Raheem
Faasle Na Barh Jayein, Faasle Ghatane Se – Nusrat Siddiqui



