
Hal Ye Hai Ke Khwahish Pursish-e-Hal Bhi Nahi
Jaun Elia Poetry
Hal Ye Hai Ke Khwahish Pursish-e-Hal Bhi Nahi
Us Ka Khayal Bhi Nahi Apna Khayal Bhi Nahi
Ae Shajar-e-Hayat-e-Shoq Aisi Khazan Raseedgi
Poshish-e-Barg-o-Gul To Kya Jism Pe Chhaal Bhi Nahi
Mujh Mein Woh Shakhs Ho Chuka Jis Ka Koi Hisaab Tha
Sood Hai Kya Ziyan Hai Kya Us Ka Sawal Bhi Nahi
Mast Hain Apne Haal Mein Dil-Zagaan-o-Dilbaran
Sulah-o-Salaam To Kaja Behas-o-Jadal Bhi Nahi
Tu Mera Hosla To Dekh Dad To De Ke Ab Mujhe
Shoq-e-Kamaal Bhi Nahi Khauf-e-Zawal Bhi Nahi
Khema Gah-e-Nigaah Ko Loot Liya Gaya Hai Kya
Aaj Ufaq Ke Dosh Par Gard Ki Shaal Bhi Nahi
Uff Ye Fiza-e-Ehtiyaat Ta Kahin Ud Na Jayen Hum
Baad-e-Junub Bhi Nahi Baad-e-Shumal Bhi Nahi
Wajah-e-Maash-e-Be-Dilan Yaas Hai Ab Magar Kahan
Us Ke Wurood Ka Gumaan Farz-e-Mahal Bhi Nahi
Gharat-e-Roz-o-Shab To Dekh Waqt Ka Ye Ghazab To Dekh
Kal To Nidhhaal Bhi Tha Main Aaj Nidhhaal Bhi Nahi
Mere Zaman-o-Zaat Ka Hai Ye Maamla Ke Ab
Subh-e-Firaaq Bhi Nahi Shaam-e-Wisaal Bhi Nahi
Pehlay Hamaare Zehan Mein Husn Ki Ek Misaal Thi
Ab To Hamaare Zehan Mein Koi Misaal Bhi Nahi
Main Bhi Bohat Ajeeb Hoon Itna Ajeeb Hoon Ke Bas
Khud Ko Tabah Kar Liya Aur Malaal Bhi Nahi
Jaun Elia Poetry in Urdu
حال یہ ہے کہ خواہش پرسش حال بھی نہیں
اس کا خیال بھی نہیں اپنا خیال بھی نہیں
اے شجر حیات شوق ایسی خزاں رسیدگی
پوشش برگ و گل تو کیا جسم پہ چھال بھی نہیں
مجھ میں وہ شخص ہو چکا جس کا کوئی حساب تھا
سود ہے کیا زیاں ہے کیا اس کا سوال بھی نہیں
مست ہیں اپنے حال میں دل زدگان و دلبراں
صلح و سلام تو کجا بحث و جدال بھی نہیں
تو مرا حوصلہ تو دیکھ داد تو دے کہ اب مجھے
شوق کمال بھی نہیں خوف زوال بھی نہیں
خیمہ گاہ نگاہ کو لوٹ لیا گیا ہے کیا
آج افق کے دوش پر گرد کی شال بھی نہیں
اف یہ فضائے احتیاط تا کہیں اڑ نہ جائیں ہم
باد جنوب بھی نہیں باد شمال بھی نہیں
وجہ معاش بے دلاں یاس ہے اب مگر کہاں
اس کے ورود کا گماں فرض محال بھی نہیں
غارت روز و شب تو دیکھ وقت کا یہ غضب تو دیکھ
کل تو نڈھال بھی تھا میں آج نڈھال بھی نہیں
میرے زمان و ذات کا ہے یہ معاملہ کہ اب
صبح فراق بھی نہیں شام وصال بھی نہیں
پہلے ہمارے ذہن میں حسن کی اک مثال تھی
اب تو ہمارے ذہن میں کوئی مثال بھی نہیں
میں بھی بہت عجیب ہوں اتنا عجیب ہوں کہ بس
خود کو تباہ کر لیا اور ملال بھی نہیں