
Hamein Kaash Tum Se Mohabbat Na Hoti
Poet: Shakeel Badayuni
Hamein Kaash Tum Se Mohabbat Na Hoti
Kahani Hamari Haqeeqat Na Hoti
Na Dil Tum Ko Detay Na Majboor Hotay
Na Duniya Na Duniya Ke Dastoor Hotay
Qayamat Se Pehle Qayamat Na Hoti
Hamain Kaash Tum Se Mohabbat Na Hoti
Hami Barh Gaye Ishq Mein Had Se Aage
Zamane Ne Thokar Lagai To Jaage
Agar Mar Bhi Jatay To Hairat Na Hoti
Hamein Kaash Tum Se Mohabbat Na Hoti
Tumhi Phonk Detay Nasheman Hamara
Mohabbat Pe Ehsaan Hota Tumhara
Zamane Se Koi Shikayat Na Hoti
Hamein Kaash Tum Se Mohabbat Na Hoti
ہمیں کاش تم سے محبت نہ ہوتی
کہانی ہماری حقیقت نہ ہوتی
نہ دل تم کو دیتے نہ مجبور ہوتے
نہ دنیا نہ دنیا کے دستور ہوتے
قیامت سے پہلے قیامت نہ ہوتی
ہمیں کاش تم سے محبت نہ ہوتی
ہمی بڑھ گئے عشق میں حد سے آگے
زمانے نے ٹھوکر لگائی تو جاگے
اگر مر بھی جاتے تو حیرت نہ ہوتی
ہمیں کاش تم سے محبت نہ ہوتی
تمھی پھونک دیتے نشیمن ہمارا
محبت پہ احسان ہوتا تمھارا
زمانے سے کوئی شکایت نہ ہوتی
ہمیں کاش تم سے محبت نہ ہوتی
Rukhsat Hua To Baat Meri Maan Kar Gaya – Khalid Sharif
Is Ishq Ke Haathon Se Hargiz Na Mafar Dekha – Jigar
Bargashta-e-Yazdaan Se Kuch Bhool Hui Hai – Saghar Siddiqui




