
Hami Bhi Na The Munkir Ghalib Bhi Nahin The
Poet: Iftikhar Arif
Hami Bhi Na The Munkir Ghalib Bhi Nahin The
Hum Ahl-E-Tazabzub Kisi Janib Bhi Nahin The
Is Baar Bhi Duniya Ne Hadaf Hum Ko Banaya
Is Baar To Hum Shah Ke Musahib Bhi Nahin The
Bech Aaye Sar-E-Qarya-E-Zar Johar-E-Pindar
Jo Daam Mile Aise Munasib Bhi Nahin The
Mitti Ki Mohabbat Mein Hum Aashufta Saron Ne
Woh Qarz Utare Hain Ke Wajib Bhi Nahin The
Lau Deti Hui Raat, Sukhan Karta Hua Din
Sab Us Ke Liye Jis Se Mukhatib Bhi Nahin The
حامی بھی نہ تھے منکر غالبؔ بھی نہیں تھے
ہم اہل تذبذب کسی جانب بھی نہیں تھے
اس بار بھی دنیا نے ہدف ہم کو بنایا
اس بار تو ہم شہہ کے مصاحب بھی نہیں تھے
بیچ آئے سر قریۂ زر جوہر پندار
جو دام ملے ایسے مناسب بھی نہیں تھے
مٹی کی محبت میں ہم آشفتہ سروں نے
وہ قرض اتارے ہیں کہ واجب بھی نہیں تھے
لو دیتی ہوئی رات سخن کرتا ہوا دن
سب اس کے لیے جس سے مخاطب بھی نہیں تھے
افتخار عارف