
Haq Meri Mohabbat Ka Ada Kyun Nahi Karte
Poet: Mujeeb Zafar Anwar Hameedi
Haq Meri Mohabbat Ka Ada Kyun Nahi Karte
Tum Dard To Dete Ho Dawa Kyun Nahi Karte
حق میری محبت کا ادا کیوں نہیں کرتے
تم درد تو دیتے ہو دوا کیوں نہیں کرتے
Kyun Baithe Ho Khamosh Sarhane Mere Aa Kar
Yaaro Mere Jeene Ki Dua Kyun Nahi Karte
کیوں بیٹھے ہو خاموش سرہانے میرے آ کر
یارو مرے جینے کی دعا کیوں نہیں کرتے
Phoolon Ki Tarah Jism Hai Patthar Ki Tarah Dil
Jaane Ye Haseen Log Wafa Kyun Nahi Karte
پھولوں کی طرح جسم ہے پتھر کی طرح دل
جانے یہ حسیں لوگ وفا کیوں نہیں کرتے
Har Baat Parindon Ki Tarah Udti Hui Si
Jo Baat Bhi Karte Ho Sada Kyun Nahi Karte
ہر بات پرندوں کی طرح اڑتی ہوئی سی
جو بات بھی کرتے ہو سدا کیوں نہیں کرتے
Lo Dekho Hamidi Lab-e-Dariya Pe Hai Dariya
Par Pyas Hai Kab Ki Ye Pata Kyun Nahi Karte
لو دیکھو حمیدیؔ لب دریا پہ ہے دریا
پر پیاس ہے کب کی یہ پتا کیوں نہیں کرتے
Mohabbat Ke Safar Mein Koi Bhi Rasta Nahi Deta – Urdu Poetry
Chaand Meri Tarah Pighalta Raha – Parveen Shakir
Agarche Main Ek Chatan Sa Aadmi Raha Hoon – Mohsin Naqvi