Jan Nisar Akhtar

Har Aik Rooh Mein Ek Gham Chhupa Lage Hai Mujhe

ہر ایک روح میں اک غم چھپا لگے ہے مجھے - جاں نثار اختر

Har Aik Rooh Mein Ek Gham Chhupa Lage Hai Mujhe

Jan Nisar Akhtar Poetry

 

Har Aik Rooh Mein Ek Gham Chhupa Lage Hai Mujhe
Yeh Zindagi To Koi Bad Dua Lage Hai Mujhe

Pasand Khatar Ahl-E-Wafa Hai Muddat Se
Yeh Dil Ka Daagh Jo Khud Bhi Bhala Lage Hai Mujhe

Jo Aansuon Mein Kabhi Raat Beeg Jaati Hai
Bohat Qareeb Woh Aawaaz Paa Lage Hai Mujhe

Main So Bhi Jaun To Kya Meri Band Aankhon Mein
Tamaam Raat Koi Jhankta Lage Hai Mujhe

Main Jab Bhi Us Ke Khayalon Mein Kho Sa Jaata Hoon
Woh Khud Bhi Baat Kare To Bura Lage Hai Mujhe

Main Sochta Tha Ke Lautoon Ga Ajnabi Ki Tarah
Yeh Mera Gaon To Pehchaanta Lage Hai Mujhe

Na Jane Waqt Ki Raftaar Kya Dikhati Hai
Kabhi Kabhi To Bara Khauf Sa Lage Hai Mujhe

Bikhar Gaya Hai Kuch Is Tarah Aadmi Ka Wujood
Har Aik Fard Koi Saaneha Lage Hai Mujhe

Ab Ek Aadh Qadam Ka Hisaab Kya Rakhiye
Abhi Talak To Wohi Faasla Lage Hai Mujhe

Hikayat-E-Gham-E-Dil Kuch Kashish To Rakhti Hai
Zamana Ghour Se Sunta Hua Lage Hai Mujhe

ہر ایک روح میں اک غم چھپا لگے ہے مجھے
یہ زندگی تو کوئی بد دعا لگے ہے مجھے

پسند خاطر اہل وفا ہے مدت سے
یہ دل کا داغ جو خود بھی بھلا لگے ہے مجھے

جو آنسوؤں میں کبھی رات بھیگ جاتی ہے
بہت قریب وہ آواز پا لگے ہے مجھے

میں سو بھی جاؤں تو کیا میری بند آنکھوں میں
تمام رات کوئی جھانکتا لگے ہے مجھے

میں جب بھی اس کے خیالوں میں کھو سا جاتا ہوں
وہ خود بھی بات کرے تو برا لگے ہے مجھے

میں سوچتا تھا کہ لوٹوں گا اجنبی کی طرح
یہ میرا گاؤں تو پہچانتا لگے ہے مجھے

نہ جانے وقت کی رفتار کیا دکھاتی ہے
کبھی کبھی تو بڑا خوف سا لگے ہے مجھے

بکھر گیا ہے کچھ اس طرح آدمی کا وجود
ہر ایک فرد کوئی سانحہ لگے ہے مجھے

اب ایک آدھ قدم کا حساب کیا رکھئے
ابھی تلک تو وہی فاصلہ لگے ہے مجھے

حکایت غم دل کچھ کشش تو رکھتی ہے
زمانہ غور سے سنتا ہوا لگے ہے مجھے

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *