Ahmad Faraz

Har Koi Dil Ki Hathaili Pe Hai Sehra Rakhe – Ahmed Faraz

Har Koi Dil Ki Hathaili Pe Hai Sehra Rakhe

Ahmad Faraz Poetry

Har Koi Dil Ki Hathaili Pe Hai Sehra Rakhe
Kis Ko Sairaab Kare Woh Kise Pyaasa Rakhe

Umar Bhar Kaun Nibhaata Hai Talluq Itna
Ae Meri Jaan Ke Dushman Tujhe Allah Rakhe

Hum Ko Achha Nahin Lagta Koi Hum Naam Tera
Koi Tujh Sa Ho To Phir Naam Bhi Tujh Sa Rakhe

Dil Bhi Paagal Hai Ke Us Shakhs Se Waabasta Hai
Jo Kisi Aur Ka Hone De Na Apna Rakhe

Kam Nahin Tama-e-Ibadat Bhi To Hirs-e-Zar Se
Faqr To Woh Hai Ke Jo Deen Na Duniya Rakhe

Hans Na Itna Bhi Fakeeron Ke Akele Pan Par
Ja Khuda Meri Tarah Tujh Ko Bhi Tanha Rakhe

Yeh Qana’at Hai Itaa’at Hai Ke Chahat Hai Faraz
Hum To Raazi Hain Woh Jis Haal Mein Jaisa Rakhe

ہر کوئی دل کی ہتھیلی پہ ہے صحرا رکھے
کس کو سیراب کرے وہ کسے پیاسا رکھے

عمر بھر کون نبھاتا ہے تعلق اتنا
اے مری جان کے دشمن تجھے اللہ رکھے

ہم کو اچھا نہیں لگتا کوئی ہم نام ترا
کوئی تجھ سا ہو تو پھر نام بھی تجھ سا رکھے

دل بھی پاگل ہے کہ اس شخص سے وابستہ ہے
جو کسی اور کا ہونے دے نہ اپنا رکھے

کم نہیں طمع عبادت بھی تو حرص زر سے
فقر تو وہ ہے کہ جو دین نہ دنیا رکھے

ہنس نہ اتنا بھی فقیروں کے اکیلے پن پر
جا خدا میری طرح تجھ کو بھی تنہا رکھے

یہ قناعت ہے اطاعت ہے کہ چاہت ہے فرازؔ
ہم تو راضی ہیں وہ جس حال میں جیسا رکھے

 

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *