
Har Shakhs To Hota Nahi Har Baat Ke Qaabil
ہر شخص تو ہوتا نہیں ہر بات کے قابل
ہر شخص کو ہر بات بتایا نہیں کرتے
قد آوروں کے ساتھ نہ چلنا مرے یارو
اونچے کہیں بھی خاک پہ سایا نہیں کرتے
سچ بات کہاں بولتے ہیں لوگ یہاں پر
فوراََ کسی کی بات میں آیا نہیں کرتے
اِخلاص اور احساس کا اَفلاس ہے ہر سُو
اِس دور میں جذبات لُٹایا نہیں کرتے
یہ تختِ خُدا ہے اِسے تُم پاک ہی رکھنا
ہر شخص کو اِس دِل میں بسایا نہیں کرتے
خاموشیوں کو جو تری خاطر میں نہ لائے
اُس شخص پہ الفاظ کو ضائع نہیں کرتے
Har Shakhs To Hota Nahi Har Baat Ke Qaabil
Har Shakhs Ko Har Baat Bataya Nahi Karte
Qad Aawaron Ke Saath Na Chalna Mere Yaaro
Oonche Kahin Bhi Khaak Pe Saaya Nahi Karte
Sach Baat Kahaan Bolte Hain Log Yahan Par
Foran Kisi Ki Baat Mein Aaya Nahi Karte
Ikhlaas Aur Ehsaas Ka Aflaas Hai Har Soo
Is Daur Mein Jazbaat Lutaya Nahi Karte
Yeh Takht-e-Khuda Hai, Ise Tum Paak Hi Rakhna
Har Shakhs Ko Is Dil Mein Basaya Nahi Karte
Khamoshiyon Ko Jo Teri Khaatir Mein Na Laaye
Us Shakhs Pe Alfaaz Ko Zaya Nahi Karte



