Mohsin Naqvi

Harf-E-Ranjish Pe Koi Baat Bhi Ho Sakti Hai – Mohsin Naqvi

Harf-E-Ranjish Pe Koi Baat Bhi Ho Sakti Hai

Mohsin Naqvi Poetry

 

Harf-E-Ranjish Pe Koi Baat Bhi Ho Sakti Hai
Ain Mumkin Hai Mulaqat Bhi Ho Sakti Hai

Zindagi Phool Hai, Khushboo Hai Magar Yaad Rahe
Zindagi Gardish-E-Halaat Bhi Ho Sakti Hai

Hum Ne Yeh Soch Ke Rakha Tha Qadam Gulshan Mein
Laal-O-Gul Mein Teri Zaat Bhi Ho Sakti Hai

Chaal Chalte Hue Shatranj Ki Baazi Ke Usool
Bhool Jaoge To Phir Maat Bhi Ho Sakti Hai

Ek To Chhat Ke Bina Ghar Hai Hamara Mohsin
Us Pe Yeh Khauf Ke Barsaat Bhi Ho Sakti Hai

Mohsin Naqvi

حرفِ رنجش پہ کوئی بات بھی ہو سکتی ہے

عین ممکن ہے ملاقات بھی ہو سکتی ہے

زندگی پھول ہے، خوشبو ہے مگر یاد رہے

زندگی گردشِ حالات بھی ہوسکتی ہے

ہم نے یہ سوچ کے رکھا تھا قدم گلشن میں

لعل و گل میں تیری ذات بھی ہو سکتی ہے

چال چلتے ہوئے شطرنچ کی بازی کے اصول

بھول جاؤ گے تو پھر مات بھی ہو سکتی ہے

ایک تو چھت کے بِنا گھر ہے ہمارا محسن

اس پہ یہ خوف کہ برسات بھی ہو سکتی ہے

محسن نقوی

Ghazal – Ab Ahl-E-Dard Yeh Jeene Ka Ahtimaam Karein
Ae Dil Woh Aashiqi Ke Fasane Kidhar Gaye – Akhtar Shirani
Us Ne Sukoot-e-Shab Mein Bhi Apna Payam Rakh Diya – ٖFaraz

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *