
Hasti Apni Habaab Ki Si Hai – Mir Taqi Mir
Hasti Apni Habaab Ki Si Hai
Yeh Numaish Siraab Ki Si Hai
Nazuki Us Ke Lab Ki Kya Kahiye
Pankhri Ek Gulaab Ki Si Hai
Chashm Dil Khol Us Bhi Aalam Par
Yaan Ki Auqaat Khwaab Ki Si Hai
Baar Baar Us Ke Dar Pe Jaata Hoon
Haalat Ab Iztiraab Ki Si Hai
Nuqtah Khaal Se Tera Abroo
Bait Ek InteKhaab Ki Si Hai
Main Jo Bola Kaha Ke Yeh Aawaaz
Usi Khaana Kharaab Ki Si Hai
Aatish Gham Mein Dil Bhuna Shaayad
Der Se Boo Kabaab Ki Si Hai
Dekhiye Abr Ki Tarah Ab Ke
Meri Chashm Par Aab Ki Si Hai
Meer In Neem Baaz Aankhon Mein
Saari Masti Sharaab Ki Si Hai
ہستی اپنی حباب کی سی ہے
یہ نمائش سراب کی سی ہے
نازکی اس کے لب کی کیا کہیے
پنکھڑی اک گلاب کی سی ہے
چشم دل کھول اس بھی عالم پر
یاں کی اوقات خواب کی سی ہے
بار بار اس کے در پہ جاتا ہوں
حالت اب اضطراب کی سی ہے
نقطۂ خال سے ترا ابرو
بیت اک انتخاب کی سی ہے
میں جو بولا کہا کہ یہ آواز
اسی خانہ خراب کی سی ہے
آتش غم میں دل بھنا شاید
دیر سے بو کباب کی سی ہے
دیکھیے ابر کی طرح اب کے
میری چشم پر آب کی سی ہے
میرؔ ان نیم باز آنکھوں میں
ساری مستی شراب کی سی ہے
Vairaana-e-Wujood Mein Chalna Pada Humein – Ghazal
Aaj To Be-Sabab Udaas Hai Ji (Nasir Kazmi)
Kahan Tak Sunoge Kahan Tak Sunaoon – Tanveer Naqvi



