
Hawa Chali Thi Kuch Aisi, Bikhar Gaye Hote
Umeed Fazli
Hawa Chali Thi Kuch Aisi, Bikhar Gaye Hote
Ragon Mein Khoon Na Hota To Mar Gaye Hote
Yeh Sard Raat, Yeh Awaargi, Yeh Neend Ka Bojh
Hum Apne Shehar Mein Hote, To Ghar Gaye Hote
Naye Shaoor Ko Jin Ka Shikaar Hona Tha
Woh Haadse Bhi Humein Par Guzar Gaye Hote
Humi Ne Rok Liye Sar Yeh Teesha-E-Ilzaam
Wagairnah Shehar Mein Kis Kis Ke Sar Gaye Hote
Humi Ne Zakhm-E-Dil O Jaan Chhupa Liye, Warna
Na Jane Kitnon Ke Chehray Utr Gaye Hote
Sukoon-E-Dil Ko Na Is Tarah Bhi Taraste Hum
Tere Karam Se Jo Bach Kar, Guzar Gaye Hote
Jo Teer, Andhi Hawa Ne Chalaaye The Kal Raat!
Na Hote Hum, To Najane Kidhar Gaye Hote
Humein Bhi Dukh To Bohat Hai, Magar Yeh Jhoot Nahi
Bhula Na Dete Use Hum, To Mar Gaye Hote
Jo Hum Bhi Us Se Zamaane Ki Tarah Milte, Umeed
Hamare Shaam O Sahar Bhi Sanwar Gaye Hote
Umeed Fazli
ہَوا چلی تھی کُچھ ایسی، بِکھر گئے ہوتے
رَگوں میں خُون نہ ہوتا تو مر گئے ہوتے
یہ سرد رات، یہ آوارگی، یہ نیند کا بَوجھ
ہم اپنے شہر میں ہوتے، تو گھر گئے ہوتے
نئے شعوُر کو جِن کا شِکار ہونا تھا
وہ حادثے بھی ہَمَیں پر گُزر گئے ہوتے
ہمی نے رَوک لِئے سر یہ تیشۂ اِلزام
وگرنہ شہر میں کِس کِس کے سر گئے ہوتے
ہمی نے زخمِ دل و جاں چُھپا لیے، ورنہ
نہ جانے کتنوں کے چہرے اُتر گئے ہوتے
سکون ِ دِل کو نہ اِس طرح بھی ترستے ہم
تِرے کَرَم سے سے جو بچ کر، گُزر گئے ہوتے
جو تِیر، اندھی ہَوا نے چلائے تھے کل رات!
نہ ہوتے ہم ، تو نجانے کِدھر گئے ہوتے
ہَمَیں بھی دُکھ تو بہت ہے، مگر یہ جھوٹ نہیں
بُھلا نہ دیتے اُسے ہم، تو مر گئے ہوتے
جو ہم بھی اُس سے زمانے کی طرح ملتےاُمیدؔ
ہمارے شام و سحر بھی سنور گئے ہوتے
اُمیؔد فاضلی
Harf-E-Ranjish Pe Koi Baat Bhi Ho Sakti Hai – Mohsin Naqvi
Kya Hai Pyar Jise Hum Ne Zindagi Ki Tarah – Qateel Shifai
Yeh Fakhar To Haasil Hai Buray Hain Ke Bhale Hain – Ada Jafarey




