
Hindustani Bachon Ka Geet
Allama Iqbal Poetry – Bang-e-Dara
Chishti Ne Jis Zamin Mein Paigham-E-Haq Sunaya
Nanak Ne Jis Chaman Mein Wahdat Ka Git Gaya
Tatariyon Ne Jis Ko Apna Watan Banaya
Jis Ne Hijaziyon Se Dasht-E-Arab ChhuDaya
Mera Watan Wahi Hai Mera Watan Wahi Hai
Yunaniyon Ko Jis Ne Hairan Kar Diya Tha
Sare Jahan Ko Jis Ne Ilm O Hunar Diya Tha
Mitti Ko Jis Ki Haq Ne Zar Ka Asar Diya Tha
Turkon Ka Jis Ne Daman Hiron Se Bhar Diya Tha
Mera Watan Wahi Hai Mera Watan Wahi Hai
TuTe The Jo Sitare Faras Ke Aasman Se
Phir Tab De Ke Jis Ne Chamkae Kahkashan Se
Wahdat Ki Lai Suni Thi Duniya Ne Jis Makan Se
Mir-E-Arab Ko Aai ThanDi Hawa Jahan Se
Mera Watan Wahi Hai Mera Watan Wahi Hai
Bande Kalim Jis Ke Parbat Jahan Ke Sina
Nuh-E-Nabi Ka Aa Kar Thahra Jahan Safina
Rifat Hai Jis Zamin Ki Baam-E-Falak Ka Zina
Jannat Ki Zindagi Hai Jis Ki Faza Mein Jina
Mera Watan Wahi Hai Mera Watan Wahi Hai
Hindustani Bachon Ka Geet
(in Urdu)
چشتی نے جس زمیں میں پیغام حق سنایا
نانک نے جس چمن میں وحدت کا گیت گایا
تاتاریوں نے جس کو اپنا وطن بنایا
جس نے حجازیوں سے دشت عرب چھڑایا
میرا وطن وہی ہے میرا وطن وہی ہے
یونانیوں کو جس نے حیران کر دیا تھا
سارے جہاں کو جس نے علم و ہنر دیا تھا
مٹی کو جس کی حق نے زر کا اثر دیا تھا
ترکوں کا جس نے دامن ہیروں سے بھر دیا تھا
میرا وطن وہی ہے میرا وطن وہی ہے
ٹوٹے تھے جو ستارے فارس کے آسماں سے
پھر تاب دے کے جس نے چمکائے کہکشاں سے
وحدت کی لے سنی تھی دنیا نے جس مکاں سے
میر عرب کو آئی ٹھنڈی ہوا جہاں سے
میرا وطن وہی ہے میرا وطن وہی ہے
بندے کلیم جس کے پربت جہاں کے سینا
نوح نبی کا آ کر ٹھہرا جہاں سفینا
رفعت ہے جس زمیں کی بام فلک کا زینا
جنت کی زندگی ہے جس کی فضا میں جینا
میرا وطن وہی ہے میرا وطن وہی ہے
Read More:
Khudi Ka Sirr-e-Nihan La Ilaha Illallah – Allama Iqbal Poetry
Tasleem-o-Raza – Allama Iqbal Poetry | Zarb-e-Kaleem
Tarana-e-Hindi – Sare Jahan Se Acha Hindustan Hamara