
Hum Apni Mohabbat Ka Tamasha Nahin Karte
Karte Hain Agar Kuch To Dikhawa Nahin Karte
Yeh Sach Hai Ke Duniya Ki Rosh Thik Nahin Hai
Kuch Hum Bhi To Duniya Ko Gwara Nahin Karte
Ek Baar To Mehmaan Banen Ghar Pe Hamare
Yeh Un Se Gurezah Hai Taqaza Nahin Karte
Duniya Ke Jhamelay Hi Kuch Aise Hain Ke Un Ko
Hum Bhool To Jaate Hain Bhalaya Nahin Karte
Farda Pe Hain Nazrein To Kabhi Haal Pe Nazrein
Mazi Ko Magar Mud Ke Bhi Dekha Nahin Karte
Jin Mein Ke Buzurgon Ki Koi Qadr Nahin Ho
Hum Aise Gharon Mein Kabhi Rishta Nahin Karte
Barish Ho Ke Toofan Ho Ya Aag Ka Jangal
Hum Ghar Se Nikal Jaayein To Socha Nahin Karte
Jo Khawab Nazar Aata Hai Sarsabz Zameen Ka
Is Khawab Ki Tabeer Bataya Nahin Karte
Bazaar Mein Bakte Nahin Woh Log Aam Taur Par
Rishton Ka Jo Apne Kabhi Soda Nahin Karte
ہم اپنی محبت کا تماشا نہیں کرتے
کرتے ہیں اگر کچھ تو دکھاوا نہیں کرتے
یہ سچ ہے کہ دنیا کی روش ٹھیک نہیں ہے
کچھ ہم بھی تو دنیا کو گوارا نہیں کرتے
اک بار تو مہمان بنیں گھر پہ ہمارے
یہ ان سے گزارش ہے تقاضا نہیں کرتے
دنیا کے جھمیلے ہی کچھ ایسے ہیں کہ ان کو
ہم بھول تو جاتے ہیں بھلایا نہیں کرتے
فردا پہ ہیں نظریں تو کبھی حال پہ نظریں
ماضی کو مگر مڑ کے بھی دیکھا نہیں کرتے
جن میں کہ بزرگوں کی کوئی قدر نہیں ہو
ہم ایسے گھروں میں کبھی رشتہ نہیں کرتے
بارش ہو کہ طوفان ہو یا آگ کا جنگل
ہم گھر سے نکل جائیں تو سوچا نہیں کرتے
جو خواب نظر آتا ہے سرسبز زمیں کا
اس خواب کی تعبیر بتایا نہیں کرتے
بازار میں بکتے نہیں وہ لوگ عموماً
رشتوں کا جو اپنے کبھی سودا نہیں کرتے




