
Hum Dekhein Ge — Faiz Ahmed Faiz
Hum Dekhein Ge, Hum Dekhein Ge
Laazim Hai Ke Hum Bhi Dekhein Ge
Woh Din Ke Jis Ka Waada Hai
Jo Lauh-e-Azal Mein Likha Hai
Jab Zulm-o-Sitam Ke Koh-e-Giraan
Roi Ki Tarah Urr Jaayenge
Hum Mehkoomon Ke Paon Talay
Yeh Dharti Dhardhar Dharkegi
Aur Ahl-e-Hukm Ke Sar Oopar
Jab Bijli Kar Kar Karkegi
Jab Arz-e-Khuda Ke Kaabe Se
Sab But Uthwaaye Jaayenge
Hum Ahl-e-Safa Mardood-e-Haram
Masnad Pe Bithaye Jaayenge
Sab Taaj Uchaale Jaayenge
Sab Takht Giraye Jaayenge
Bas Naam Rahega Allah Ka
Jo Ghaib Bhi Hai Haazir Bhi
Jo Naazir Bhi Hai Manzar Bhi
Uthhega “Ana-al-Haq” Ka Naara
Jo Main Bhi Hoon Aur Tum Bhi Ho
Aur Raaj Karegi Khalq-e-Khuda
Jo Main Bhi Hoon Aur Tum Bhi Ho
Laazim Hai Ke Hum Bhi Dekhein Ge
ہم دیکھیں گے، ہم دیکھیں گے
لازم ہے کہ ہم بھی دیکھیں گے
وہ دن کہ جس کا وعدہ ہے
جو لوحِ ازل میں لکھا ہے
جب ظلم و ستم کے کوہ گراں
روئی کی طرح اُڑ جائیں گے
ہم محکوموں کے پاؤں تلے
یہ دھرتی دھڑدھڑدھڑکے گی
اور اہلِ حکم کے سر اوپر
جب بجلی کڑ کڑ کڑکے گی
جب ارضِ خدا کے کعبے سے
سب بُت اُٹھوائے جائیں گے
ہم اہلِ سفا مردودِ حرم
مسند پہ بٹھائے جائیں گے
سب تاج اچھالے جائیں گے
سب تخت گرائے جائیں گے
بس نام رہے گا اللہ کا
جو غائب بھی ہے حاضر بھی
جو ناظر بھی ہے منظر بھی
اٹھّے گا انا الحق کا نعرہ
جو میں بھی ہوں اور تم بھی ہو
اور راج کرے گی خلقِ خدا
جو میں بھی ہوں اور تم بھی ہو
لازم ہے کہ ہم بھی دیکھیں گے
- Tum Aaye Ho, Na Shab-e-Intezaar Guzri Hai – Faiz
- Habib Jalib – Dastoor – Main Nahin Manta Main Nahin Jaanta



