
Hum Ke Thehre Ajnabi Itni Madaraaton Ke Baad
Faiz Ahmad Faiz Poetry
Hum Ke Thehre Ajnabi Itni Madaraaton Ke Baad
Phir Baneinge Aashna Kitni Mulaqaaton Ke Baad
Kab Nazar Mein Aaye Gi Be-Daagh Sabze Ki Bahaar
Khoon Ke Dhabbe Dhulen Ge Kitni Barsaaton Ke Baad
Thay Bohat Be-Dard Lamhe Khatm-e-Dard-e-Ishq Ke
Theen Bohat Be-Mehr Subahain Mehrbaan Raaton Ke Baad
Dil To Chaha Par Shikast-e-Dil Ne Mohlat Hi Na Di
Kuch Gile Shikwe Bhi Kar Letay Manaajaaton Ke Baad
Un Se Jo Kehne Gaye Thay Faiz Jaan Sadqa Kiye
Un-Kahi Hi Reh Gayi Woh Baat Sab Baaton Ke Baad
ہم کہ ٹھہرے اجنبی اتنی مداراتوں کے بعد
پھر بنیں گے آشنا کتنی ملاقاتوں کے بعد
کب نظر میں آئے گی بے داغ سبزے کی بہار
خون کے دھبے دھلیں گے کتنی برساتوں کے بعد
تھے بہت بے درد لمحے ختمِ درد عشق کے
تھیں بہت بے مہر صبحیں مہرباں راتوں کے بعد
دل تو چاہا پر شکستِ دل نے مہلت ہی نہ دی
کچھ گلے شکوے بھی کر لیتے مناجاتوں کے بعد
ان سے جو کہنے گئے تھے فیض جاں صدقہ کیئے
ان کہی ہی رہ گئی وہ بات سب باتوں کے بعد