
Hum Kyun Yeh Kahein Koi Hamara Nahi Hota
Muzaffar Warsi
Hum Kyun Yeh Kahein Koi Hamara Nahi Hota
Mojon Ke Liye Koi Kinara Nahi Hota
Dil Toot Bhi Jaye To Mohabbat Nahi Mitti
Is Raah Mein Lut Kar Bhi Khasara Nahi Hota
Sarmaya-e-Shab Hote Hain Yun To Sabhi Taare
Har Taara Magar Subh Ka Taara Nahi Hota
Ashkon Se Kahin Mitti Hain Be-Tabiyan Dil Ki
Pani Mein Jo Ghul Jaye Woh Paara Nahi Hota
Sone Ki Tarazu Mein Mera Dard Na Tolo
Imdaad Se Ghairat Ka Guzara Nahi Hota
Tum Bhi To Muzaffar Ki Kisi Baat Pe Bolo
Shayar Ka Hi Lafzon Pe Ujaara Nahin Hota
ہم کیوں یہ کہیں کوئی ہمارا نہیں ہوتا
موجوں کے لئے کوئی کنارا نہیں ہوتا
دل ٹوٹ بھی جائے تو محبت نہیں مٹتی
اس راہ میں لٹ کر بھی خسارا نہیں ہوتا
سرمایۂ شب ہوتے ہیں یوں تو سبھی تارے
ہر تارہ مگر صبح کا تارا نہیں ہوتا
اشکوں سے کہیں مٹتی ہیں بے تابیاں دل کی
پانی میں جو گھل جائے وہ پارا نہیں ہوتا
سونے کی ترازو میں مرا درد نہ تولو
امداد سے غیرت کا گزارا نہیں ہوتا
تم بھی تو مظفرؔ کی کسی بات پہ بولو
شاعر کا ہی لفظوں پہ اجارا نہیں ہوتا
- Man Tu Shudam Tu Man Shudi | من تو شدم تومن شدی
- Yun Hath Nahin Ata Woh Gohar-e-Yak Dana – Allama Iqbal