
Hum Ne Suna Tha Sahn-e-Chaman Mein Kaif Ke Badal Chhaye Hain
— Habib Jalib
Hum Ne Suna Tha Sahn-e-Chaman Mein Kaif Ke Badal Chhaye Hain
Hum Bhi Gaye The Jee Behlane, Ashk Bahakar Aaye Hain
Phool Khile To Dil Murjhaaye, Shama Jale To Jaan Jale
Ek Tumhara Gham Apna Kar Kitne Gham Apnaye Hain
Ek Sulagti Yaad, Chamakta Dard, Farozan Tanhai
Poocho Na Us Ke Sheher Se Hum Kya Kya Saugaten Laye Hain
Soye Hue Jo Dard The Dil Mein, Aansu Ban Kar Beh Nikle
Raat Sitaaron Ki Chhaon Mein Yaad Woh Kya Kya Aaye Hain
Aaj Bhi Suraj Doob Gaya Be Noor Ufaq Ke Sagar Mein
Aaj Bhi Phool Chaman Mein Tujh Ko Bin Dekhe Murjhaaye Hain
Ek Qayamat Ka Sanata, Ek Bala Ki Tareeki
In Galiyon Se Door Na Hansta Chand Na Roshan Saaye Hain
Pyaar Ki Boli Bol Na Jalib, Is Basti Ke Logon Se
Hum Ne Sukh Ki Kaliyan Khokar, Dukh Ke Kaante Paaye Hain
ہم نے سنا تھا صحن چمن میں کیف کے بادل چھائے ہیں
ہم بھی گئے تھے جی بہلانے اشک بہا کر آئے ہیں
پھول کھلے تو دل مرجھائے شمع جلے تو جان جلے
ایک تمہارا غم اپنا کر کتنے غم اپنائے ہیں
ایک سلگتی یاد چمکتا درد فروزاں تنہائی
پوچھو نہ اس کے شہر سے ہم کیا کیا سوغاتیں لائے ہیں
سوئے ہوئے جو درد تھے دل میںآنسو بن کر بہہ نکلے
رات ستاروں کی چھاؤں میں یاد وہ کیا کیا آئے ہیں
آج بھی سورج ڈوب گیا بے نور افق کے ساگر میں
آج بھی پھول چمن میں تجھ کو بن دیکھے مرجھائے ہیں
ایک قیامت کا سناٹا ایک بلا کی تاریکی
ان گلیوں سے دور نہ ہنستا چاند نہ روشن سائے ہیں
پیار کی بولی بول نہ جالب اس بستی کے لوگوں سے
ہم نے سکھ کی کلیاں کھو کر دکھ کے کانٹے پائے ہیں
حبیب جالب
Habib Jalib – Dastoor – Main Nahin Manta Main Nahin Jaanta
Faasle Na Barh Jayein, Faasle Ghatane Se – Nusrat Siddiqui


