
Hum Ne Teri Khaatir Se Dilzaar Bhi Chhorda
Bahadur Shah Zafar
Hum Ne Teri Khaatir Se Dilzaar Bhi Chhorda
Tu Bhi Na Hua Yaar Aur Ek Yaar Bhi Chhorda
Kya Hoga Rafoogar Se Rafoo Mera Garebaan
Ae Dast-e-Junoon, Tune Nahin Taar Bhi Chhorda
Deen De Ke Gaya Kufr Ke Bhi Kaam Se Aashiq
Tasbeeh Ke Saath Us Ne To Zannaar Bhi Chhorda
Gosha Mein Teri Chashm-e-Siyah Mast Ke Dil Ne
Ki Jab Se Jagah, Khaana-e-Khumaar Bhi Chhorda
Us Se Hai Ghareebon Ko Tasalli Ke Ajjal Ne
Muflis Ko Jo Maara To Na Zardaar Bhi Chhorda
Terhe Na Ho Hum Se Rakho Ikhlaas To Seedha
Tum Pyaar Se Rukte Ho To Lo Pyaar Bhi Chhorda
Kya Chhoden Aseeraan-e-Mohabbat Ko Wo Jis Ne
Sadqe Mein Na Ek Murgh-e-Girtaar Bhi Chhorda
Pahunchi Meri Ruswaai Ki Kyonkar Khabar Us Ko
Us Shokh Ne To Dekhna Akhbaar Bhi Chhorda
Karta Tha Jo Yahan Aane Ka Jhoota Kabhi Iqraar
Muddat Se Zafar Us Ne Woh Iqraar Bhi Chhorda
ہم نے تری خاطر سے دل زار بھی چھوڑا
تو بھی نہ ہوا یار اور اک یار بھی چھوڑا
کیا ہوگا رفوگر سے رفو میرا گریبان
اے دست جنوں تو نے نہیں تار بھی چھوڑا
دیں دے کے گیا کفر کے بھی کام سے عاشق
تسبیح کے ساتھ اس نے تو زنار بھی چھوڑا
گوشہ میں تری چشم سیہ مست کے دل نے
کی جب سے جگہ خانۂ خمار بھی چھوڑا
اس سے ہے غریبوں کو تسلی کہ اجل نے
مفلس کو جو مارا تو نہ زردار بھی چھوڑا
ٹیڑھے نہ ہو ہم سے رکھو اخلاص تو سیدھا
تم پیار سے رکتے ہو تو لو پیار بھی چھوڑا
کیا چھوڑیں اسیران محبت کو وہ جس نے
صدقے میں نہ اک مرغ گرفتار بھی چھوڑا
پہنچی مری رسوائی کی کیونکر خبر اس کو
اس شوخ نے تو دیکھنا اخبار بھی چھوڑا
کرتا تھا جو یاں آنے کا جھوٹا کبھی اقرار
مدت سے ظفرؔ اس نے وہ اقرار بھی چھوڑا