Faiz Ahmad Faiz

Hum Par Tumhari Chaah Ka Ilzaam Hi To Hai By Faiz Ahmed Faiz

Hum Par Tumhari Chaah Ka Ilzaam Hi To Hai

By Faiz Ahmed Faiz

 

Hum Par Tumhari Chaah Ka Ilzaam Hi To Hai
Dishnaam To Nahin Hai, Ye Ikraam Hi To Hai

Karte Hain Jis Pe Ta’n Koi Jurm To Nahin
Shauq-e-Fazool-o-Ulfat-e-Naakaam Hi To Hai

Dil Mudda’i Ke Harf-e-Malaamat Se Shaad Hai
Ae Jaan-e-Jaan! Ye Harf Tera Naam Hi To Hai

Dil Na-umeed To Nahin, Naakaam Hi To Hai
Lambi Hai Gham Ki Shaam, Magar Shaam Hi To Hai

Dast-e-Falak Mein Gardish-e-Taqdeer To Nahin
Dast-e-Falak Mein Gardish-e-Ayyaam Hi To Hai

Aakhir To Ek Roz Karegi Nazar Wafaa
Woh Yaar Khush-Khisal Sar-e-Baam Hi To Hai

Bheegi Hai Raat, Faiz Ghazal Ibtida Karo
Waqt-e-Surood-e-Dard Ka Hangaam Hi To Hai

ہم پر تمہاری چاہ کا الزام ہی تو ہے
دشنام تو نہیں ہے یہ اکرام ہی تو ہے

کرتے ہیں جس پہ طعن کوئی جرم تو نہیں
شوق فضول و الفت ناکام ہی تو ہے

دل مدعی کے حرف ملامت سے شاد ہے
اے جان جاں یہ حرف ترا نام ہی تو ہے

دل ناامید تو نہیں ناکام ہی تو ہے
لمبی ہے غم کی شام مگر شام ہی تو ہے

دست فلک میں گردش تقدیر تو نہیں
دست فلک میں گردش ایام ہی تو ہے

آخر تو ایک روز کرے گی نظر وفا
وہ یار خوش خصال سر بام ہی تو ہے

بھیگی ہے رات فیضؔ غزل ابتدا کرو
وقت سرود درد کا ہنگام ہی تو ہےf

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *