Ghazal

Hum To Gum Ho Gaye Halaat Ke Sanaate Mein – Urdu Shayari

Hum To Gum Ho Gaye Halaat Ke Sanaate Mein

Urdu Shayari – Poet: Marghoob Ali

 

Hum To Gum Ho Gaye Halaat Ke Sanaate Mein
Hum Ne Kuch Bhi Na Suna Raat Ke Sanaate Mein

Harf Naakaam Jahan Hote Hain Un Lamhon Mein
Phool Khilte Hain Bohat Baat Ke Sanaate Mein

Shor Hungama Sada Tabl-O-Alam Naqaare
Doob Jate Hain Sabhi Maat Ke Sanaate Mein

Raat Padte Hi Har Ek Roz Ubhar Aati Hai
Kis Ke Rone Ki Sada Zaat Ke Sanaate Mein

Zehn Mein Phoolon Ki Maanind Khila Karte Hain
Hum Ne Woh Pal Jo Chune Saath Ke Sanaate Mein

ہم تو گم ہو گئے حالات کے سناٹے میں
ہم نے کچھ بھی نہ سنا رات کے سناٹے میں

حرف ناکام جہاں ہوتے ہیں ان لمحوں میں
پھول کھلتے ہیں بہت بات کے سناٹے میں

شور ہنگامہ صدا طبل و علم نقارے
ڈوب جاتے ہیں سبھی مات کے سناٹے میں

رات پڑتے ہی ہر اک روز ابھر آتی ہے
کس کے رونے کی صدا ذات کے سناٹے میں

ذہن میں پھولوں کی مانند کھلا کرتے ہیں
ہم نے وہ پل جو چنے ساتھ کے سناٹے میں

 

Kuch Kehne Ka Waqt Nahin Ye | Ibn-e-Insha Poetry
Mere Jaise Ban Jao Ge Jab Ishq Tumhein – Nasir Kazmi
Dil Mein Ek Tasveer Chhupi Thi – Bashir Badr Poetry

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *