
Hum To Maujood The Raaton Mein Ujalon Ki Tarah
Poet: Sarwar Arman
Hum To Maujood The Raaton Mein Ujalon Ki Tarah
Log Nikle Hi Nahin Dhondne Walon Ki Tarah
Jane Kyun Waqt Bhi Aankhen Bhi Qalam Bhi Lab Bhi
Aaj Khamosh Hain Guzre Hue Saalon Ki Tarah
Hajaten Zeest Ko Ghere Mein Liye Rakhti Hain
Khasta Deewar Se Chimte Hue Jalon Ki Tarah
Raat Bhigi To Siskti Hui Khamoshi Se
Aasman Phoot Para Jism Ke Chhalon Ki Tarah
Saari Rahein Sabhi Sochain Sabhi Baaten Sabhi Khawab
Kyun Hain Tareekh Ke Be Rabt Hawalon Ki Tarah
Zindagi Khushk Hai Veeran Hai Afsurda Hai
Ek Mazdoor Ke Bikhre Hue Balon Ki Tarah
Zakhm Pehne Hue Masoom Bhikari Bachay
Safha-e-Dahr Pe Bikhre Hain Sawalon Ki Tarah
ہم تو موجود تھے راتوں میں اجالوں کی طرح
لوگ نکلے ہی نہیں ڈھونڈنے والوں کی طرح
جانے کیوں وقت بھی آنکھیں بھی قلم بھی لب بھی
آج خاموش ہیں گزرے ہوئے سالوں کی طرح
حاجتیں زیست کو گھیرے میں لیے رکھتی ہیں
خستہ دیوار سے چمٹے ہوئے جالوں کی طرح
رات بھیگی تو سسکتی ہوئی خاموشی سے
آسماں پھوٹ پڑا جسم کے چھالوں کی طرح
ساری راہیں سبھی سوچیں سبھی باتیں سبھی خواب
کیوں ہیں تاریخ کے بے ربط حوالوں کی طرح
زندگی خشک ہے ویران ہے افسردہ ہے
ایک مزدور کے بکھرے ہوئے بالوں کی طرح
زخم پہنے ہوئے معصوم بھکاری بچے
صفحۂ دہر پہ بکھرے ہیں سوالوں کی طرح