
Hum To Yun Khush Thay Ke Ik Taar Girebaan Mein Hai
Ahmed Faraz Poetry
Hum To Yun Khush Thay Ke Ik Taar Girebaan Mein Hai
Kya Khabar Thi Ke Bahaar Us Ke Bhi Armaan Mein Hai
Ek Zarb Aur Bhi Ae Zindagi-e-Tesha Badast
Saas Lene Ki Sakat Ab Bhi Meri Jaan Mein Hai
Main Tujhe Kho Ke Bhi Zinda Hun Yeh Dekha Tu Ne
Kis Qadar Hosla Haare Hue Insaan Mein Hai
Faasle Qurb Ke Sholoon Ko Hawa Dete Hain
Main Tere Sheher Se Door Aur Tu Mere Dhyaan Mein Hai
Sar Deewar Farozan Hai Abhi Ek Chiraagh
Ae Naseem-e-Sahari Kuch Tere Imkaan Mein Hai
Dil Dhadakne Ki Sada Aati Hai Gaahay Gaahay
Jaise Ab Bhi Teri Aawaaz Mere Kaan Mein Hai
Khalqat-e-Sheher Ke Har Zulm Ke Ba Wasf Faraz
Haaye Woh Haath Ke Apne Hi Girebaan Mein Hai
ہم تو یوں خوش تھے کہ اک تار گریبان میں ہے
کیا خبر تھی کہ بہار اس کے بھی ارمان میں ہے
ایک ضرب اور بھی اے زندگیٔ تیشہ بدست
سانس لینے کی سکت اب بھی مری جان میں ہے
میں تجھے کھو کے بھی زندہ ہوں یہ دیکھا تو نے
کس قدر حوصلہ ہارے ہوئے انسان میں ہے
فاصلے قرب کے شعلوں کو ہوا دیتے ہیں
میں ترے شہر سے دور اور تو مرے دھیان میں ہے
سر دیوار فروزاں ہے ابھی ایک چراغ
اے نسیم سحری کچھ ترے امکان میں ہے
دل دھڑکنے کی صدا آتی ہے گاہے گاہے
جیسے اب بھی تری آواز مرے کان میں ہے
خلقت شہر کے ہر ظلم کے با وصف فرازؔ
ہائے وہ ہاتھ کہ اپنے ہی گریبان میں ہے