Adeem Hashmi

Idhar Bhi Dekh Kabhi Apne Ghar Mein Baithe Hue – Adeem Hashmi

Idhar Bhi Dekh Kabhi Apne Ghar Mein Baithe Hue

Adeem Hashmi

 

Idhar Bhi Dekh Kabhi Apne Ghar Mein Baithe Hue
Hum Aaj Bhi Hain Teri Reh-Guzar Mein Baithe Hue

Ajeeb Shaklein Banaati Rahi Hai Tanhai!
Main Dar Gaya Tha Khud Apne Hi Ghar Mein Baithe Hue

Khuli Hai Aankh Magar Neend Toot’ti Hi Nahin
Woh Khwab The Ke Hain Ab Tak Nazar Mein Baithe Hue

Chamak Raha Hai Tera Sheher Jugnuon Ki Tarah
Ke Hain Sitare Meri Chashm-e-Tar Mein Baithe Hue

Bichhad Ke Tujh Se, Na Dekha Gaya Kisi Ka Milaap
Uda Diye Hain Parinday, Shajar Mein Baithe Hue

Chhupa Hua Hoon Ke Sab Shughul Poochhte Hain Mera
Wagarna Katta Hai Kab Waqt, Ghar Mein Baithe Hue

Azal Se Ghoom Raha Hoon Bas Ek Mehwar Par
Main Thak Gaya Hoon Zameen Ke Bhanwar Mein Baithe Hue

Karu Bhi Kaam Kahaan Apni Satah Se Gir Kar
Ke Aashna Hain Mere, Sheher Bhar Mein Baithe Hue

ادھر بھی دیکھ کبھی اپنے گھر میں بیٹھے ہوئے
ہم آج بھی ہیں تیری رہگذر میں بیٹھے ہوئے

عجیب شکلیں بناتی رہی ہے تنہائی!
میں ڈر گیا تھا خود اپنے ہی گھر میں بیٹھے ہوئے

کھلی ہے آنکھ مگر نیند ٹوٹتی ہی نہیں
وہ خواب تھے کہ ہیں اب تک نظر میں بیٹھے ہوئے

چمک رہا ہے تیرا شہر جگنوؤں کی طرح
کہ ہیں ستارے میری چشمِ تر میں بیٹھے ہوئے

بچھڑ کے تجھ سے ، نہ دیکھا گیا کسی کا ملاپ
اڑا دیئے ہیں پرندے، شجر میں بیٹھے ہوئے

چھپا ہوا ہوں کہ سب شغل پوچھتے ہیں میرا
وگرنہ کٹتا ہے کب وقت، گھر میں بیٹھے ہوئے

ازل سے گھوم رہا ہوں بس ایک محور پر
میں تھک گیا ہوں زمیں کے بھنور میں بیٹھے ہوئے

کروں بھی کام کہاں اپنی سطح سے گر کر
کہ آشنا ہیں مرے،شہر بھر میں بیٹھے ہوئے

عدیم ہاشمی

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *